391. Imaam ki mutaabi’at ikhtiyaar ki jaae
Imaam ki mutaabi’at ikhtiyaar ki jaae
[Sawaal]
Main ne Imaam ke peeche Namaz-e-Zuhr padhi lekin aakhri do raka’aton mein main Surah Fatiha mukammal na padh saka. Agar mein us se mukammal padhta to Imaam ke saath ruku’ Faut ho jaata to is soorat mein Kia mujhe Surah Fatiha mukammal padhni chaahiye ya Imaam ki qiraat par iktifa karte hue ruku’ karna chaahiye?
[Jawab]
Zaahir yun ma’loom hota hai ke yeh Imaam qiraat mein bohat jaldi karta hai aur qayyam bohat halka karta hai ya tum qiraat bohat aahista karte aur mad aur ikhraaj-e-huroof ko bohat lamba karte ho. Agar pehli baat hai to tum par laazim hai ke us Imaam ko naseehat karo ke woh jald baazi se kaam na le ke jis se muqtadiyon ke liye arkaan ko poora karna hi mumkin na ho. Aur agar doosri baat hai to tumhein chaahiye ke thodi si jaldi karo taa ke tum Imaam ke saath arkaan adaa kar sako lekin bahar haal tumhare liye Imaam ki mutaabi’at laazmi hai aur jab ruku’ ke Faut hone ka andesha ho aur tum ne qira’at ko mukammal na kiya ho to phir bhi Imaam ki mutaabi’at mein ruku’ mein chale jaao.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…