Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

393. Us shakhs ki Namaz jis ke satar ka ba’az hissa khul** **gaya ho

Us shakhs ki Namaz jis ke satar ka ba’az hissa khul** **gaya ho

[Sawaal]

Mein basa auqaat tauliya se jism ko dhaanp kar Namaz padhta hoon aur us se bazaahir satar ka koi hissa nanga nahi hota lekin sajdah ke waqt ghutne ya un se upar ka thoda sa hissa zaahir ho jaata hai, Us waqt mein tanha hota hoon aur mere paas koi nahi hota to is baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Namaz mein satar ke maqaam ke kuch hissa ko bhi barhana (Nanga) karna jaaiz nahi khuwaah Namaz Farz ho ya Nafil aur mard ke satar ki had naaf se le kar ghutne tak hai lehaaza us maqaam ki satar poshi zaroori hai. Jab ghutna ya us se upar ka koi hissa nanga ho jaae to Namaz baatil ho jaae gi Khuwaah aadmi tanha Namaz padh raha ho ya us ke paas aadmi maujood hon aur khuwah woh andherey mein Namaz adaa kar raha ho satar ko dhaanpna laazim hai, Jis se zaahiri jild chup jaae aur jism nazar na aae lehaaza Namaz ke liye khafeef aur bareek libaas ya is qadar chotta libaas kaafi nahi hai, Jo ruku’-o-sajood ke waqt simat jaae, Jis se sareenon se upar kamar ki taraf ka kuch hissa ya raan ya ghutna nanga ho jaae, Libaas khuwaah tehband ho ya choti shalwaar ho ya jubba ho ya chaadar ho ya tauliya waghaira ho!

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents