394. Soye hue shakhs ki Namaz
Soye hue shakhs ki Namaz
[Sawaal]
Jo shakhs Namaz-e-Isha na padhe, So jaae aur us se Namaz-e-Fajr ke ba’d yaad aae to Kia woh us se usi waqt padhe ya agli ‘Isha ki Namaz ke saath padhe?
[Jawab]
(Sahih Hadees mein Rasoolullah (ﷺ) ka yeh Irshaad maujood hai ke:)
مَنْ نَامَ عَنِ الصَّلَاةِ أَوْ نَسِيَهَا فَلْيُصَلِّهَا إِذَا ذَكَرَهَا ، لا كَفَّارَةَ لَهَا، إِلَّا ذَلِكَ، وَقَرَأَ قَوْلُهُ تَعَالَى ﴿وَأَقِمِ الصَّلَاةَ لِذِكْرِى
(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqiyat Al-Salaat, Baab min nasi salaat . . . , H: 597, Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Qaza Al-Salaat Al-Faitat. . . , H: 684)
“Jo shakhs Namaz se so jaae ya bhool jaae to woh us waqt padhe jab us se yaad aa jaae. Iska bas yehi kaffaara hai.”
Is moq’a par Rasoolullah (ﷺ) ne yeh Irshaad-e-Baari Ta’ala bhi padha: Aur meri yaad ke liye Namaz padho.”
Is masla mein Namaz-e-‘Isha aur deegar Namaazon mein koi farq nahi hai lehaaza aadmi jab bhi bedaar ho, Waqt na bhi ho to foran usi waqt padh le aur ‘Isha tak mu’akkhar na kare balkeh joon hi yaad aae foran padh le khuwaah mumaani’at ka waqt ho ya kisi aur Namaz ka lekin agar yeh khadsha ho ke is Namaz ke padhne se maujooda Namaz ka waqt khatam ho jaae ga to phir pehle maujooda Namaz ko padh le aur us ke ba’d Faut shudah Namaz ko padh le. (Wallahu A’lam)
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…