Search
400. Namaz mein aankhen band karna
Namaz mein aankhen band karna
[Sawaal]
Kia khush’oo ke iraadah se Namaz mein aankhon ko band karna jaaiz hai?
[Jawab]
Fuqaha ne makroohat-e-Namaz mein aankhon ke band karne ko bhi zikr kiya hai kyunke yeh Yahoodiyon ka f’el hai aur is se neend aane ka andesha hota hai. (Manaar-ul-Sabeel) waghaira mein bhi Isi tarah likha hai lekin agar is se dil ziyaada mutawaja ho, Khush’oo-o-khuz’oo ziyaada paida ho, Sahav-o-nisyaan se ziyaada doori ho aur waswason se bach sake to yeh jaaiz hai kyunke dil bhi Isi ke taab’a hota hai jis par nazar padti hai lekin yaad rahe ke Namazi ko hukm hai ke us ki nazar sajdah ki jagah par ho.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…