404. Jo shakhs iqaamat ya Fatiha bhool jaae us ki Namaz ka hukm
Jo shakhs iqaamat ya Fatiha bhool jaae us ki Namaz ka hukm
[Sawaal]
Ek aadmi ne Namaz-e-‘Asar padhi lekin woh iqaamat kehna bhool gaya tha to us par Kia waajib hai? Agar insaan kisi raka’at mein Fatiha bhool jaae to Kia woh us raka’at ko dohraae ya us se mukammal Namaz dohraana ho gi?
[Jawab]
Tark-e-iqaamat nuqsaan daah nahi hai kyunke yeh Namaz ke sharoot aur waajibaat mein se nahi hai, Is ka hukm to sirf yeh isliye hai taa ke logon ko ma’loom kar diya jaae ke Namaz khadi hone lagi hai lekin jaan bujh kar us se tark nahi karna chaahiye, Jo shakhs bhoolne ki wajah se Fatiha na padh sake agar woh Imaam hai ya munfarid to us se yeh raka’at dohraani ho gi Jis mein us ne Fatiha nahi padhi aur agar muqtadi hai to us se Sahav’an-e-tark ka azaala Imaam ki taraf se ho jaae ga. Agar Imaam jaan boojh kar tark karde to us se Namaz baatil ho jaae gi aur poori Namaz ka i’aadah laazim ho ga lekin Imaam ki wajah se muqtadi ke baare mein bazaahir yoon ma’loom hota hai ke us se Namaz dohraane ki zaroorat nahi hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…