411. Sha’bdah Baazi se ‘Ilaaj karne waale Imaam ke peeche Namaz
Sha’bdah Baazi se ‘Ilaaj karne waale Imaam ke peeche Namaz
[Sawaal]
Mujhe ma’loom hoa hai ke jo Imaam hamare gaoon ki Masjid mein Namaz padhaata hai, Woh ta’weezon aur sha’ubdah baazi ke saath ‘ilaaj karta hai. Kia is baat ke ma’loom hone ke ba’d agar mein us ke peeche Namaz padhoon to is mein gunaah hai?
[Jawab]
Is masla mein usool yeh hai ke jis musalmaan ki Namaz padhna sahi ho us ki Imaamat bhi sahi hai khusoosan jab Imaam ke haalaat ke baare mein ‘ilm na ho lekin jin ki apni Namaz hi sahi na ho maslan woh Ahl-e-bidd’at jin ki bidd’aat kufur tak pohanchaati hon to un ke peeche Namaz jaaiz nahi kyunke un ki apni Namaz hi sahi nahi hai.
Yeh shakhs jo Sho’ubdah baazi aur ta’weezon se ‘ilaaj karta hai to us ke do pehlu hain:
(1) Sho’ubdah baazi jo bilaashak-o-shubha Haraam hai kyunke is mein dhoka aur fareb hai aur mumkin hai ke us mein kisi waqt koi aisi cheez bhi ho jo kufur tak pohanchaane waali ho maslan yeh ke woh apni sho’ubdah baazi ke silsila mein shaitaanon se khidmat le ya zibah-o-dua’a ke zari’ya un ka taqarrub haasil kare waghaira. Aur
(2) ta’weez nawesi’ Agar ta’weezaat Qur’aani Aayaat ya masnoon dua’aon par mushtamil hon, To un ke baare mein ‘Ulama-e-karaam mein ikhtilaaf hai, Ba’az ne unhein jaaiz qaraar diya aur ba’az ne un se bhi mana’ kiya hai aur sahih baat yehi hai ke yeh ta’weez bhi mamn’o hain lekin un ke iste’maal karne waale Imaam ke peeche Namaz ko tark nahi kiya jaa sakta. Agar ta’weez shirkiya-o-badi’ya kalimaat par mabni hon to un ke baare mein sirf ek hi baat hai ke unhein iste’maal karne ki qat’an ijaazat nahi hai. aise ta’weez likhne waale ko chaahiye ke woh Allah Ta’ala ki baargah-e-qadas mein tawbah kare aur aainda hamesha ke liye ta’weez nawesi ke is kaaroobaar ko tark kar de.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…