Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

418. Bahaalat-e-janaabat Namaz padh lena

Bahaalat-e-janaabat Namaz padh lena

[Sawaal]

Mein bahaalat-e-janaabat tha ke main ne Fajr , Zuhr , ‘Asar , Maghrib aur ‘Isha ki Namaazein padh lein aur yeh baat bhool gaya ke mein jumbi hoon aur yeh baat mujhe agle din yaad aai to Kia mujhe in Namaazon ko dobaraah padhoon ya bhool chook ki wajah se meri yeh Namaazein sahih hon gi?

[Jawab]

Un Namaazon ko dobaraah padhna laazim hai kyunke jo shakhs Hadas-e-Asghar ya Akbar ki haalat mein Namaz padh le to us ki Namaz baatil hoti hai, Khuwaah us ne us se bhool kar padha ho kyunke us ne Namaz ke baare mein ehtimaam nahi kiya. Hazrat ‘Umar رضي الله عنه ne jab ghusl kiye baghair haalat-e-ehtilaam mein Namaz padh li thi to unhon ne us Namaz ko dobaraah padha tha.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents