Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

421. Mukhaalif niyyat ke saath Imaam ke peeche Namaz

Mukhaalif niyyat ke saath Imaam ke peeche Namaz

[Sawaal]

Mein Masjid mein aaya to Imaam Sahab ‘Asar ki Namaz padha rahe the lekin main ne abhi tak Zuhr ki Namaz adaa nahi ki thi lehaaza mein Zuhr ki niyyat se Imaam ke saath shaamil ho gaya. Jama’at se faraaghat ke ba’d main ne Namaz-e-‘Asar infiraadi taur par adaa kar liya to Kia yeh jaaiz hai?

[Jawab]

Is tarah Namaz padhne mein koi harj nahi. ‘Asar ki Namaz padhne waale Imaam ki iqtida mein aap Namaz-e-Zuhr aur Zuhr ki Namaz padhne waale Imaam ki iqtida mein aap Namaz-e-‘Asar padh sakte hain kyunke dono Namaazon ki raka’at ki tadaad ek hi jaisi hai. Is haalat mein posheedah niyyat ka ikhtilaaf muwajjib-e-nuqsaan nahi hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents