Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

424. Ek Wuzu ke saath ek se ziyaada Farz Namaazon ko adaa karna

Ek Wuzu ke saath ek se ziyaada Farz Namaazon ko adaa karna

[Sawaal]

Kia yeh jaaiz hai ke hum niyyat ke baghair ek Wuzu ke saath do Farz Namaazein adaa kar saken?

[Jawab]

Haan insaan ke liye yeh jaaiz hai ke us ne maslan Namaz-e-Zuhr ke liye Wuzu kiya ho aur phir ‘Asar ki Namaz ka waqt ho gaya ho aur us ka Wuzu qaaim ho to wo us Wuzu ke saath Namaz-e-‘Asar adaa kar sakta hai khuwaah us ne Wuzu karte waqt us ke saath do Namaazon ke adaa karne ki niyyat na bhi ki ho kyunke Namaz-e-Zuhr ke liye us ne jo Wuzu kiya tha us se us ka hadas khatam ho gaya aur jab hadas khatam ho jaae to woh dobaraah kisi sabab hi se paida ho ga aur us ka sabab wo ma’roof-o-mashhoor umoor hain jin se Wuzu toot jaata hai.

Insaan agar Namaz ki niyyat ke baghair bhi Wuzu kar le yaane maslan us ne mehez raf’a-e-hadas ke liye Wuzu kiya ho to tahaarat barqaraar rehne tak us Wuzu se bhi woh jis qadar chaahe Farz-o-Nafil Namaazein adaa kar sakta hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents