Search
425. Namaz mein raf’a-ul-yadein ke maqaamaat
Namaz mein raf’a-ul-yadein ke maqaamaat
[Sawaal]
Namaz mein raf’a-ul-yadeen ke baare mein Kia hukm hai? Nez kin maqaamaat par raf’a-ul-yadeen kiya jaae?
[Jawab]
Namaz mein chaar maqaamaat par raf’a-ul-yadein kiya jaata hai:
(1) Takbeer-e-Tehreema ke waqt
(2) Ruko’ ko jaate hue
(3) Ruko’ se sar uthaate hue aur
(4) Tashahhud-e-awwal se uthte hue
Tashahhud-e-awwal se jab khada ho to apne haathon ko kandhon ke baraabar uthaae jaisa ke takbeer-e-Tehreema ke waqt kiya tha. Un chaar maqaamaat ke ‘ilaawa aur kisi maqaam par haath na uthaae. Namaz-e-Janaaza ki har takbeer ke saath haath uthaana bhi mashr’o hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…