Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

430. Janazaah ke siwa har Namaz ke liye dua’a-e-istiftahh hai

Janazaah ke siwa har Namaz ke liye dua’a-e-istiftahh hai

[Sawaal]

Kia har Namaz mein dua’a-e-istiftahh padhna waajib hai?

[Jawab]

Dua’a-e-istiftahh:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ

(Jaam’a Al-Tirmizi, Baab maa Yaqaul ‘anad-e-Iftitaah Al-Salaat, H: 243)

Ka takbeer-e-Tehreema ke ba’d aur qira’at se pehle padhna waajib nahi balkeh Sunnat-e-muwakkadah hai. Namaz-e-Janaaza mein is ka padhna mashr’oo nahi hai lekin aisi Namaazon mein padhna Sunnat hai jin mein Ruko’ aur sajood ho maslan Farz Namaazein Sunan-e-muwakkadah , Witr , Namaz-e-Jumm’a , Namaz-e-‘Eidein , Istasqa’ Kasoof aur Namaz-e-Taraweeh waghaira. Dua’a-e-istiftahh is ke siwa aur bhi saabit hai lehaaza jo shakhs Hadees seu saabit dua’aon aur azkaar ke saath istiftaah kare to is mein koi harj nahi.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents