436. Namaz mein haathon ko khula chodna khilaaf-e-Sunnat hai
Namaz mein haathon ko khula chodna khilaaf-e-Sunnat hai
[Sawaal]
Namaz mein haathon ke khula chodne ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Namaz mein haathon ko khula chodna khilaaf-e-Sunnat hai. Namazi ke haqq mein Sunnat yeh hai ke woh apne daaein haath ko baaein par rakh le jaisa ke “Sahih al-Bukhari” mein Hadees-e-sehel-bin-Sa’ad رضي الله عنه se yeh saabit hai ke:
كَانَ النَّاسُ يُؤْمَرُوْنَ أَنْ يَضَعَ الرَّجُلُ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى ذِرَاعِهِ الْيُسْرَى فِي الصَّلَاةِ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Waz’a Al-Yamni ‘Ali Al-Yasri fi Al-Salaat, H: 740).)
“Logon ko yeh hukm diya jaata tha ke Namaz mein aadmi apne daaein haath ko apne baaein haath par rakh le.”
Is masla mein qabl-e-az Ruko’ aur ba’adaaz-e-Ruko’ mein koi farq nahi kyunke Hadees-e-sehel-bin-Sa’ad ke ‘umoom ka yehi taqaaza hai, Haan albatta us ‘umoom se Ruko’ khaas hai ke us mein dono haath ghutnon par hote hain, Sujood khaarij hai ke us mein dono haath zameen par hote hain, Jalsa khaarij hai ke us mein dono haath raanon par hote hain. baaqi rahi haalat-e-qayaam to us mein qabl-e-az Ruko’ aur ba’ad az-e-Ruko’ dono haalaaton mein daayan haath baaein haath par baandha jaae ga.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…