441. Neend ki wajah se Namaz ko mu’akkhar karna
Neend ki wajah se Namaz ko mu’akkhar karna
[Sawaal]
Mein ek ladki hoon. Neend ki wajah se meri aksar Namaz-e-Maghrib Faut ho jaati hai aur phir mein us se raat ko der se ya subah padhti hoon Is ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Shar’i hukm yeh hai ke kisi ke liye yeh jaaiz nahi ke woh kisi Namaz mein is qadar susti kare ke us ka waqt khatam ho jaae. Insaan jab sone lage to woh kisi ko keh de, Jo us se bedaar kar de taa ke barwaqt Namaz adaa ki jaae. Yeh zaroori hai. Aur yeh jaaiz nahi ke Namaz-e-Maghrib ya ‘Isha ko subah tak mu’akkhar kiya jaae balkeh waajib yeh hai ke Namaz ko barwaqt adaa kiya jaae lehaaza us ladki ko chaahiye ke woh apne ghar waalon se kahe ke woh us se Namaz ke waqt bedaar kar dein’ Haan albatta agar koi aisi shadeed haajat ya ‘aarza darpaish ho jis ki wajah se neend ka sakht ghalba ho, Woh Maghrib ki Namaz adaa kare aur dar ho ke agar us ne Namaz-e-‘Isha na padhi to us par neend ka is qadar ghalba ho ga ke woh Namaz-e-Fajr se pehle na uth sake gi to phir us haal mein ‘Isha ko Maghrib ke saath jam’a karke adaa karne mein koi harj nahi taa ke ‘Isha ki Namaz waqt se Faut na ho lekin aisi soorat to kisi ‘aarza hi ki wajah se ho sakti hai maslan yeh ke woh kayi raaton tak bedaar rahi ho ya kisi bemaari ki wajah se yeh soorat darpaish ho.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…