Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

446. Masbooq’ Imaam ki zaaid Namaz ko shumaar na kare

Masbooq’ Imaam ki zaaid Namaz ko shumaar na kare

[Sawaal]

Ek aadmi Namaz ke liye jama’at ke saath shaamil hoa aur us ne Imaam ke saath ek raka’at padhi’ Phir Imaam ne sajdah-e-Sahav kiya aur salaam pher diya aur us aadmi ko apni baaqi Namaz padhte hue ma’loom ho gaya ke Imaam ne Namaz mein ek raka’at ziyaada padhi hai to Kia us ke liye yeh jaaiz hai ke us zaaid raka’at ko shumaar kare ya us zaaid raka’at ko shumaar na kare aur apni Namaz ko az sar-e-nau shur’u kare?

[Jawab]

Jab Imaam bhool kar ek raka’at ziyaada padh le To masbooq ko chaahiye ke woh us se shumaar na kare kyunke Imaam ne us raka’at ko bhool kar adaa kiya hai. ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq us shakhs ko kaamil Namaz padhni ho gi aur agar us ne Imaam ke saath sajdah-e-Sahav na kiya ho to apni Namaz se faraaghat ke ba’d sajdah-e-Sahav kare aur agar Imaam ke saath sajdah-e-Sahav kiya ho to wahi kaafi ho ga. Wallahu waali Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents