Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

455. Ruko’ se sar uthaane ke ba’d haathon ko baandhna

Ruko’ se sar uthaane ke ba’d haathon ko baandhna

[Sawaal]

Kia Namazi Ruko’ se sar uthaane ke ba’d apne haathon ko baandh le? Ek Masjid mein hamara is masla mein ikhtilaaf hoa hamein fatwa dijiye ke is masla mein sahih soorat Kia hai? Allah Ta’ala aap ko ajar-o-sawaab se nawaaze ga.

[Jawab]

Rasoolullah (ﷺ) ki sahih Ahadees, jo sehel-bin-Sa’adرضي الله عنه’ Waa’il-bin-Hajarرضي الله عنه aur kayi deegar Sahaaba رضی الله عنھم se marwi hain, Un se ma’loom hota hai ke Namazi ke liye haalat-e-qayaam mein mashr’oo yeh hai ke woh apne baaein haath par daaein haath ko baandh le khuwah yeh qayaam Ruko’ se pehle ho ya ba’d mein ho aur ba’az Ahadees se yeh bhi ma’loom hota hai ke afzal yeh hai ke haathon ko seena par baandha jaae. Mazkoora Ahadees par ‘amal ke mutaabiq yehi qawl mukhtaar hai. Jo log Ruko’ ke ba’d haath chod dene ke qaail hain, Un ke paas is masla mein koi shar’i daleel nahi hai. Hum ne is mauz’oo par ek mabsoot muqaala likha hai jo ba’az maqaami aur ghair maqaami parchon mein shaae’ hoa hai, Lekin yaad rahe ke haathon ko baandhna ya chod dena un masaail mein se nahi hai ke jin ki wajah se Ummat mein ikhtilaaf aur dushmani paida ki jaae balkeh musalmaanon ke liye waajib hai ke woh neiki aur taqwa ke kaamon mein ek doosre ke saath ta’awun karen, Allah Ta’ala ke liye ek doosre se mohabbat karen, Aapas mein ek doosre ke saath khair khuwaahi karen khuwaah qabaz-o-irsaal jaise far’i masaail mein ikhtilaaf hi kio na ho kyunke haathon ko baandhna Sunnat hai, Waajib nahi hai. Jo shakhs haathon ko baandh kar Namaz padhe ya chod kar Namaz sahih hai haan albatta haathon ko baandhna afzal aur mashr’oo hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ke qawl-o-f’el ke mutaabiq hai.

Allah Ta’ala hi se dua’a hai ke woh hamein Aap ko aur tamaam musalmaanon ko Deen mein faqahat aur saabit qadmi ‘ataa farmaae aur hum sab ko apne nafson ki sharaaraton ,bure am’aal aur gumraah kin fitnon se mehfooz rakhe. Inna Sami’u Mujeeb.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents