465. Namaz mein jamaai lena
Namaz mein jamaai lena
[Sawaal]
Jamaai to agarcha Namaz mein bhi aa sakti hai aur ghair Namaz mein bhi lekin yahan sawaal yeh hai ke agar jamaai Namaz mein aae to Kia us waqt bhi yeh waajib hai ke Namazi (اعوذ بالله من الشیطن الرجیم) padh kar munh par haath rakh le ya is haalat mein Namazi Kia kare?
[Jawab]
Jab koi shakhs jamaai le khuwaah woh haalat-e-Namaz mein ho ya kisi aur haalat mein to us se chaahiye ke maqdoor bhar munh ko band kar le. Agar jamaai ka ghalba ho to munh par haath rakh le kyunke jamaai shaitaan ki taraf se hoti hai aur woh us par hansta hai aur riwaayat kiya gaya hai ke agar aadmi jamaai ke waqt munh band na kare aur us par haath na rakhe to shaitaan insaan ke munh ke andar daakhil ho jaata hai. (1)
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
(1) Sahih Muslim’ Kitaab Al-Zahad, Baab Tashmeet Al-‘Aatas-o-Karahat Al-Tasaazab, H: 2995′-O-Sunan Abi Dawood’ Baab fi Al-Tasaazab’ H: 5026-o-Sunan Tirmizi’ Kitaab Al-Salaat’ Baab maa jaa fi karahiyat Al-Tasaazab fi Al-Salaat’ H: 370.
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…