Search
470. Daaein haath par tasbeeh padhna afzal hai
Daaein haath par tasbeeh padhna afzal hai
[Sawaal]
Kia tasbeeh daaein haath par padhna afzal hai ya baaein haath par?
[Jawab]
Afzal yeh hai ke tasbeeh daaein haath par padhi jaae kyunke Hadees se yeh saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) daaein haath se tasbeeh padha karte the aur Hazrat Ayesha رضي الله عنها se marwi is Hadees ke ʿumoom se bhi yehi saabit hota hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ko yeh baat pasand thi ke joota pehanne , Kanghi karne , Wuzu karne aur deegar tamaam umoor mein daaein taraf se shur’u karen. Is silsila mein waarid Ahadees ke pesh-e-nazar dono haathon par tasbeeh padhna bhi jaaiz hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…