Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

471. Sirf daaein haath par tasbeeh padhna

Sirf daaein haath par tasbeeh padhna

[Sawaal]

Ek naujawaan ne hamein Namaz padhaai aur Namaz ke ba’d us ne sirf daaein haath par tasbeeh ko padhna shur’u kiya to ba’az Namaaziyon ne is par e’itraaz kiya aur naujawaan se poocha to us ne bataaya ke yeh Sunnat hai. Umeed hai aap rehnumaai farmaaein ge Kia us naujawaan ki yeh baat sahi hai?

[Jawab]

Us Imaam ne jo kiya woh durust hai kyunke Hadees se saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) daaein haath par tasbeeh padhte the aur jo shakhs dono haathon par tasbeeh padh le to aksar Ahadees ke itlaaq ke pesh-e-nazar is mein koi harj nahi lekin daaein haath par tasbeeh padhna afzal hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ki Sunnat se yehi saabit hai.Wallahu waali Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents