Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

474. Farz Namaazon ke ba’d salaam-o-musaafha

Farz Namaazon ke ba’d salaam-o-musaafha

[Sawaal]

Har Farz Namaz ke ba’d hamesha Imaam aur daaein baaein bethe hue logon se salaam aur musaafha karne ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Namaz-e-panjgaana ke ba’d hamesha Imaam se aur daaein baaein bethe hue logon se salaam aur musaafha karna bidd’at hai kyunke yeh Nabi Kareem (ﷺ) , Khulafa-e-Raashideen aur deegar Sahaaba Karaam رضي الله عنه‍م se saabit nahi hai, Agar saabit hota to yeh manqool ho kar hum tak zaroor pohanchta kyunke Namaz to rozaana paanch waqt adaa hoti hai aur is tarah Namaz-e-panjgaana ke ba’d hone waala yeh ‘amal musalmaanon se makhfi na reh sakta tha. Nabi Kareem (ﷺ) se yeh saabit hai ke aap ne farmaaya:

مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هُذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدُّه

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salah, Baab Izaa Astalhawa ‘Ali salah . . . , H: 2697, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyah, Baab Naqaz Al-Ahkaam . . . , H: 1718)

“Jo shakhs hamare is amar-e-(Deen)mein koi aisi nayi baat ijaad kare jo us mein se na ho to woh mardood hai.”

Nez farmaaya:

مَنْ عَمِلَ عَمَلًا لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab Naqaz Al-Ahkaam Al-Baatilay . . . , H: 1718).)

“Jo koi aisa ‘amal kare jo hamare amar ke mutaabiq nahi hai to woh mardood hai.”

__Fatwa-e- committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents