477. Jis ne yeh samajh kar sajdah kiya ke Imaam sajdah-e-Sahav kar raha hai
Jis ne yeh samajh kar sajdah kiya ke Imaam sajdah-e-Sahav kar raha hai
[Sawaal]
Hum Namaz-e-Maghrib ba jama’at adaa kar rahe the ke teesri raka’at mein aakhri tashahhud ke ba’d Imaam ne Allahu Akbar kaha taake ek raka’at aur padhaae lekin ba’az Namaaziyon ko yeh ‘ilm na ho saka ke Imaam khada ho raha hai aur unhon ne yeh samajhte hue ke Imaam ne sajdah-e-Sahav ke liye Allahu Akbar kaha hai, Sajdah kar liya lekin unhon ne jab sajdah se sar uthaaya to dekha ke Imaam Subhaan Allah sunne ki wajah se beth raha hai, Is wajah se Imaam ne Sahav ke do sajde bhi kiye ba’az muqtadiyon ke teen sajde ho gae to is haalat mein Namaz ka Kia hukm hai?
[Jawab]
Jis shakhs ne yeh samajhte hue sajdah kar liya ke Imaam sajdah-e-Sahav kar raha hai, Koi harj nahi, Us ki Namaz sahih hai kyunke us ne jaan boojh kar Namaz mein izaafa nahi kiya balkeh us ne apne e’itqaad ke mutaabiq Imaam ki mutaabi’at hi mein yeh sajdah kiya hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…