Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

497. Sajdah-e-Tilaawat ke liye takbeer

Sajdah-e-Tilaawat ke liye takbeer

[Sawaal]

Kia Namaz ke andar ya bahar sajdah-e-tilaawat ke liye takbeer laazim hai? Namaz se bahar sajdah ki soorat mein salaam laazim hai? Umeed hai mustafeed farmaaein ge (Waffaqakumullah)

[Jawab]

Sajdah-e-Tilaawat’ Sajdah-e-Namaz hi ki tarah hai lehaaza jab insaan Namaz mein sajdah kare to sajdah ko jaate aur sajdah se sar uthaate waqt Allahu Akbar kahe aur is ki daleel yeh hai ke Rasoolullah (ﷺ) se yeh saabit hai ke:

أَنَّهُ كَانَ فِي الصَّلَاةِ يُكَبِّرُ فِي كُلِّ خَفْضٍ وَرَفْع ، إِذَا سَجَدَ كَبَّرَ، وَإِذَا نَهَضَ كَبَّرَ

(Sunan Al-Nisaai, Kitaab Al-Tatbeeq, Baab Al-Takbeer lil sajood, H: 2150, 1151 nahu Al-ma’ani, Sunan Al-Daarimi, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Takbeer ‘anad kul khafaz-o-raf’a, H: 1249)

“Aap Namaz mein har khafaz-o-raf’a(Yaane neeche jhukte aur upar uthte waqt) Allahu Akbar kehte the, Jab sajdah se sar uthaate to Allahu Akbar kehte.”

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه aur kayi deegar Sahaaba Karaam رضي الله عنهم se marwi Ahadees mein Isi tarah bayaan kiya gaya hai.Sajdah-e-tilaawat bhi chunki sajdah-e-Namaz hi hai aur dalaail se yehi zaahir hota hai lehaaza is ke liye bhi Allahu Akbar kaha jaae ga lekin Namaz se bahar sajdah ki soorat mein sirf sajdah ke aaghaz mein Allahu Akbar kehna marwi hai aur yehi ma’roof tareeqa hai jaisa ke Imaam Abu Dawood aur Haakim ne riwaayat kiya hai.(1) Namaz se bahar sajdah se sar uthaate waqt Allahu Akbar ya salaam kehna marwi nahi hai. Ba’az Ahl-e-ilm ne agarcha yeh kaha hai ke sajdah ko jaate waqt Allahu Akbar kahe aur faarigh ho kar salaam bhi phere lekin yeh kisi Hadees se saabit nahi hai lehaaza Namaz se bahar sajdah ki soorat mein sirf takbeer-e-aula hi laazim hai. Wabilla Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

(1) Sunan Abi Dawood’ Kitaab Sajood Al-Qur’an’ Baab fi Al-Rajal yasma’a Al-Sajdah-o-hoa raakib ——‘ H: 1413-O-Masnad Ahmad’ 217

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents