Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

503. Mumaani’at ke waqt Namaz

Mumaani’at ke waqt Namaz

[Sawaal]

Kia Maghrib se pehle Namaz makrooh hai, Khuwah woh Tahiyyat-ul-Masjid hi ho?

[Jawab]

Yeh sawaal mubhim hai, Jeht-e-waqt aur nau’iyat-e-Namaz ke e’itbaar se tafseel ka mohtaaj hai. Namaz-e-‘Asar ke ba’d se ghuroob-e-Aftaab tak ka waqt mumaani’at ka waqt hai lehaaza us waqt ‘aam Namaz nahi padhi jaa sakti kyunke Ahadees mein us ki mumaani’at waarid hai maslan Nabi (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

لا صَلَاةَ بَعْدَ الصُّبْحِ حَتَّى تَرْتَفَعَ الشَّمْسُ، وَلَا صَلَاةَ بَعْدَ الْعَصْرِ حَتَّى تَغْرُبَ الشَّمْسُ

(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqiyat Al-Salaat, Baab laa Tathari Al-Salaat qabl-e-Ghuroob Al-Shams, H: 586,-O-Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Al-Auqaat Alti Nahi ‘an Al-Salaat Fiha, H: 827)

“Subah ke ba’d se le kar sooraj ke buland hone tak Namaz nahi hai aur ‘Asar ke ba’d se le kar ghuroob-e-Aftaab tak Namaz nahi hai.”

Lekin agar kisi Faut shudah Namaz ki qaza dena maqsood ho to Ahl-e-ilm ka ijm’a hai ke woh is mumaani’at mein daakhil nahi hai, Is tarah woh Namaazein jo makhsoos asbaab ki wajah se adaa ki jaati hain maslan Namaz-e-kasoof, Namaz-e-Janaaza aur Tahiyyat-ul-Masjid ki do raka’at’ To Ahl-e-ilm ke raajeh qawl ke mutaabiq yeh auqaat-e-mumaani’at mein bhi jaaiz hain kyunke makhsoos asbaab waali Namaazon ke baare mein Ahadees ‘aam hain, Unhein auqaat-e-mumaani’at-o-ghair-mumaani’at mein bhi adaa kiya jaa sakta hai. Maslan Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai ke:

إِذَا دَخَلَ أَحَدُكُمُ الْمَسْجِدَ فَلَا يَجْلِسُ حَتَّى يُصَلِّي رَكْعَتَيْن

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tahajjud, Baab maa jaa fi Al-Tataw’oo Masni Masni, H: 1163, -O-Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musaafireen, Baab Istahbaab Tahiyyat-ul-Masjid Raka’ateen, H: 714)

“Tum mein se koi jab bhi Masjid mein daakhil ho to do raka’at padhe baghair na bethe.”

Aur auqaat-e-mamnoo’a mein jin Namaazon ke padhne ki mumaani’at aai hai to unhein Faut shudah Namaazon aur makhsoos-e-asbaab waali Namaazon ke ‘ilaawa deegar par mahmool kiya jaae ga.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents