Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

504. ‘Asar ke ba’d ghuroob-e-Aftaab tak Namaz nahi

‘Asar ke ba’d ghuroob-e-Aftaab tak Namaz nahi

[Sawaal]

Namaz-e-‘Asar ke ba’d Sunnaton ya deegar Namaz ko kio adaa nahi kiya jaata?

[Jawab]

Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنه‍م ki ek jama’at se yeh saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

لا صَلَاةَ بَعْدَ الْعَصْرِ حَتَّى تَغْرُبَ الشَّمْسُ ، وَلَا بَعْدَ الْفَجْرِ حَتَّى تَطْلُعَ الشَّمْسُ

” ‘Asar ke ba’d ghuroob-e-Aftaab tak aur Fajr ke ba’d tul’u-e-Aftaab tak Namaz nahi hai.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqiyat Al-Salaat, Baab laa tatahari salaat-e-qabl Ghuroob Al-Shams, H: 586,-O- SahihMuslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Al-Auqaat alti nahi ‘an Al-Salaat Fiha, H: 827)

‘Ulama ne farmaaya is ka sabab shaayad un mushrikeen ki mushaabihat se mumaani’at hai jo un auqaat mein sooraj ko sajdah karte hain Lehaaza bilaa sabab un auqaat mein Namaz-e-Nafil se mana’ kar diya gaya taa ke yeh wehm paida na ho ke sooraj ko sajdah kiya jaa raha hai Yaane ehtiyaat aur shirk ke asbaab-o-wasaail se doori ikhtiyaar karne ke pesh-e-nazar un auqaat mein Namaz se mana’ kar diya gaya hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents