517. Namaz-e-Taraawih mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar padhna
Namaz-e-Taraawih mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar padhna
[Sawaal]
Namaz-e-Taraawih mein Imaam ke Qur’an-e-Majeed se dekh kar padhne ke baare mein Kia hukm hai? Us ki kitaab-o-Sunnat se Kia daleel hai?
[Jawab]
Qayaam-e-Ramzan mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar padhne mein koi harj nahi hai kyunke is tarah muqtadiyon ko saara Qur’an-e-Majeed sunaaya jaa sake ga Kitaab-o-Sunnat ke shar’i daleel se yeh saabit hai ke Namaz mein Qur’an-e-Majeed ki qira’at ki jaae aur yeh hukm ‘aam hai Qur’an-e-Majeed se dekh kar aur zubaani qira’at sabhi ko shaamil hai. Hazrat Ayesha رضی الله عنها se saabit hai ke unhon ne apne ghulaam Zakwaan ko hukm diya ke woh Qayaam-e-Ramzan mein un ki Imaamat karwayein aur Zakwaan Qur’an-e-Majeed se dekh kar padhte the, Imaam Bukhariرحمة الله ne is riwaayat ko apni “Sahih” mein (1) Mu’alaqa magar sehat ke poore wasooq ke saath bayaan farmaaya hai.
(1) Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Azaan’ Baab Imaamat Al-‘Abad-o-Al-Mauli’ qabl-e-Hadees: 692.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
[Sawaal]
Hum ne Ramzan-ul-Mubarak mein Namaz-e-Taraawih Americi shehar Frazno mein adaa ki aur Qur’an-e-Majeed se dekh kar qira’at ke baare mein hamare haan ikhtilaaf paida ho gaya. Ba’az bhaiyon ki yeh raae thi ke Namaz-e-Taraawih mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar qira’at karna jaaiz nahi aur ba’az ki raae yeh thi ke yeh jaaiz hai. Us waqt yeh soorat-e-haal is liye pesh aai ke hum mein koi aisa bhai na tha jis se mukammal Qur’an-e-Majeed yaad ho?
[Jawab]
Jab amr-e-waqi’a is tarah hai jaise aap ne zikr kiya to aap ke Imaam ke liye yeh jaaiz hai ke woh Namaz-e-Taraawih mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar qira’at kar lein balkeh is tarah ki haalat mein is tarah karna shar’an mustahab hai kyunke Namaz-e-Taraawih mein taweel qira’at ki targheeb di gai hai aur tumhare liye yeh Isi soorat mein mumkin hai ke tumhara Imaam dekh kar qira’at kare. Imaam Ibn-e-Abi Dawood ne “Kitaab Al-Masaahif” mein Ayyub ‘an Ibn-e-Abi Malika ki sanad se” Hazrat Ayesha رضی الله عنها se riwaayat kiya hai ke aap ka ghulaam Zakwan Qur’an-e-Majeed se dekh kar aap ki Imaamat karwaaya kartq tha. Imaam Ibn-e-Abi Sheeba farmaate hain ke hum se Wak’i ne bayaan kiya Hashaam-bin-‘Urwah se Unhon ne Ibn-e-Abi Malika se aur unhon ne Hazrat Ayesha رضی الله عنها se riwaayat kiya hai ke aap ka ek mudabbir ghulaam tha jo Ramzan mein Qur’an-e-Majeed se dekh kar aap ko Namaz padhaaya karta tha.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…