Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

535. Namaz-e-Zuha ka waqt aur ta’daad e raka’at ?

Namaz-e-Zuha ka waqt aur ta’daad e raka’at ?

[Sawaal]

Namaz-e-Zuha ki raka’at ki tadaad kitni hai aur us ke adaa karne ka munaasib waqt kon sa hai?

[Jawab]

Namaz-e-Zuha Sunnat-e-mustahab hai. Is ki kam az kam do raka’at aur ziyaada se ziyaada baarah raka’at hain. Afzal waqt woh hai jab sooraj ki haraarat mein shiddat aana shur’u ho jaati hai jaisa ke Hadees mein aaya hai ke:

صَلَاةُ الأَوَّابِينَ حِيْنَ تَرْمَضُ الْفِصَالُ

(Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Salat Al-Auwabeen hain tarmaz Al-Fasaal, H: 784)

“Allah Ta’ala ki taraf ruj’o karne waalon ki Namaz ka waqt woh hai jab oont ke bachon ke paaon jalney lagte hain.”

Lekin yeh Namaz us waqt bhi jaaiz hai jab mumaani’at ka waqt guzarne ke ba’d sooraj ek neezah ke baraabar buland ho jaae aur azaan-e-Zuhr se pehle zawaal shur’u hone se thodi der pehle Yaane qareeban nasf ghanta pehle tak us Namaz ka waqt rehta hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents