545. Bachon ko saf mein kahan khada kiya jaae
Bachon ko saf mein kahan khada kiya jaae
[Sawaal]
Jab aadmi do ya do se ziyaada nabaaligh bachon ki Imaamat karwaae to bachhe kahan khade hon us ke peeche ya daaein jaanib?
[Jawab]
Sunnat yeh hai ke bachhe jab saat saal ya us se ziyaada ‘Umar ke ho jaaein to woh baalighon ki tarah Imaam ke peeche hi khade hon aur agar bacha ek ho to us se Imaam apni daaein jaanib khada kar le kyunke Nabi Kareem (ﷺ) se yeh saabit hai ke aap ne Hazrat Abu Talhaرضی الله عنه ke ghar mein Namaz padhi aur Hazrat Anasرضی الله عنه aur ek yateem ko apne peeche khada kar liya aur (Hazrat Anasرضی الله عنه ki waalida) Umm-e-Saleem رضی الله عنها ko un dono ke peeche khada kar liya (1) Aur ek doosri riwaayat mein yeh bhi saabit hai ke aap ne Hazrat Anas-bin-Malikرضی الله عنه ke saath Namaz padhi aur unhein apni daaein jaanib khada kar liya, Isi tarah ek martaba Namaz mein Hazrat Ibn-e-‘Abbas رضی الله عنهم aap ke saath the, To unhein bhi aap ne apni daaein jaanib khada kar liya. (2)
__Fatwa-e-committee__
(1) Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Jama’at-o-Al-Imaamat’ Baab Al-Maraat-o-Hadha Takoon Safa’ H: 380′ 727.-O-Sahih Muslim’ Kitaab Al-Masaajid’ Baab Jawaaz Al-Jama’at fi Maafilat’ H: 658.
(2) Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Azaan’ Baab Izaa Qaam Al-Rajal ‘an Yasaar Al-Imaam fahaula Al-Imaam——‘ H: 698.
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…