Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

559. Kia ‘Aurtein ba jama’at Namaz adaa kar sakti hain?

Kia ‘Aurtein ba jama’at Namaz adaa kar sakti hain?

[Sawaal]

Kia ‘Aurtein bhi mardon ki tarah ba jama’at Namaz adaa kar sakti hain ya uncke liye yeh waajib hai ke woh alag alag Namaz adaa karen? Aur agar un ke liye Namaz ba jama’at adaa karna laazim hai to Kia mere liye yeh jaaiz hai ke mein apne Ahl-e-khaana ko ba jama’at Namaz padhaaon taake unhein Namaz ba jama’at ka ajar-o-sawaab mil jaae?

[Jawab]

Masjidon mein Namaz ba jama’at adaa karna sirf mardon ke liye waajib hai lekin jab koi ‘Aurat Masjid mein Namaz adaa karne ke liye ijaazat maange to us se mana’ karna makrooh hai, Jab ke us ke liye ghar mein Namaz adaa karna behtar hai aur ghar mein ba jama’at adaa karne mein koi harj nahi lekin un ki Imaam un ki sif ke darmiyaan hi mein khadi ho gi lekin ‘Aurton ke liye ba jama’at Namaz adaa karne ki fazeelat is tarah nahi hai, Jis tarah mardon ke liye hai. Kisi mard ke liye yeh jaaiz nahi ke woh Masjid ko chod kar ghar mein apne Ahl-e-khaana ya ‘Aurton ko jama’at se Namaz padhaae kyunke Farz Namaz adaa karne ke liye Masjid mein jaana mardon ke liye Farz hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents