Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

563. Kia taarik-e-Namaz ke baare mein logon ko bataana jaaiz hai?

Kia taarik-e-Namaz ke baare mein logon ko bataana jaaiz hai?

[Sawaal]

Jab ba’az logon ke baare mein mujhe yeh ‘ilm ho ke woh Namaz nahi padhte aur na Allah Ta’ala ka zikr karte hain balkeh us ke bajaae woh aise bure am’aal karte hain, Jin se Allah Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) naraaz hote hain to Kia yeh jaaiz hai ke mein unhein sarzanish karoon taake logon ko bhi un ke baare mein ma’loom ho jaae? Ya yeh jaaiz nahi hai?

[Jawab]

Sab se pehle to aap par yeh waajib hai ke us se naseehat karen ke woh un kaamon ko kare, Jin ka Allah Ta’ala ne hukm diya hai aur un kaamon ko chod de, Jin se Allah Ta’ala ne mana’ farmaaya hai. Agar woh baat maaney khuwah aahista aahista hi sahi to us ke saath maqdoor bhar naseehat ka yeh silsila jaari rakho, Wagarna maqdoor bhar us se ijtinaab karo taake fitna se bach sako aur munkir se kinaara kashi kar sako aur phir us ke ba’d woh shakhs waajibat mein jo kotaahi karta aur munkiraat ko baja laata ho, Us ke baare mein logon ko bawaqt zaroorat bata sakte ho taake logon ko us ke baare mein sahi soorat-e-haal ka ‘ilm ho aur log us ke shar se mehfooz reh saken. Aur agar koi shakhs us ke saath pados ikhtiyaar karne Ya karoobaar mein shiraakat karne ya maslan aise shakhs ko kisi khidmat waghaira ke liye rakhne ki wajah se aap se mashwara kare ya aap ko kisi ke baare mein yeh khadsha ho ke woh us ke jaal mein phans jaae ga ya us ke shar mein mubtala ho jaae ga to un tamaam soorton mein logon ko is ke haal se aagah karna waajib hai taake achhe logon ko us ke shar se bachaaya jaa sake aur us ke baare mein yeh tawaqq’u ho ke jab achhe log us se kinaara kashi karen ge to shaayad yeh bhi apni islaah kar sake.

Yeh jaaiz nahi ke aap us ke bure seerat-o-kirdaar ko apne liye ya logon ke liye misaal qaraar dein ya majlison aur mehfilon mein us ka mazaaq udaate phiren kyunke is tarah bhi shar phelta hai, Log be has ho jaate hain aur buri baatein sunte sunte buraai ka ehsaas khatam ho jaata hai. Aur yeh bhi jaaiz nahi ke us se bohat hi bura saabit karne ke liye aap us ki taraf aisi aisi buraiyan aur aise aise badtareen am’aal mansoob karein jo us ne kiye hi na hon kyunke yeh kazab aur bohtaan hai aur is se hamare Nabi Kareem (ﷺ) ne mana’ farmaaya hai.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents