566. Jo Namaz nahi padhta woh kaafir hai
Jo Namaz nahi padhta woh kaafir hai
[Sawaal]
Meri mushkilaat ka khulaasa yeh hai ke mera shohar sharaabi hai, Woh Namaz bhi nahi padhta aur Ramzan ke roze bhi nahi rakhta Ek saal se bekaar hai aur koi kaam bhi nahi karta mere us se do na baaligh bachhe hain aur ab mein apne Maa baap ke ghar mein hoon Jab ke mera shohar mukhtalif helon bahaanon se mujhe apne ghar le jaana chaahta hai, Mein bachon ki wajah se pareshaan hoon To Kia us ke paas chali jaaon? Ya us se talaaq ka mutaalba karoon kyunke main ne suna hai ke be Namaz aur sharaabi ke saath zindagi basar karna jaaiz nahi hai lehaaza baraah-e-Karaam rehnumaai farmaaiye ke mein Kia karoon? Allah Ta’ala aap ko jazaae khair se nawaaze!
[Jawab]
Woh shohar jo Namaz nahi padhta woh kaafir hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
“الْعَهْدُ الَّذِي بَيْنَنَا وَبَيْنَهُمُ الصَّلَاةُ فَمَنْ تَرَكَهَا فَقَدْ كَفَرَ
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Imaan, Baab maa jaa fi tark Al-Salaat, H: 2621; Sunan Nisaa’i, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-hukm fi Taarik Al-Salaat, H: 464; Masnad Ahmad 5346, 355)
“Hamare aur un ke darmiyaan ‘ehd Namaz ka hai jo us se chod de woh kaafir hai.”
Iss se Imaam Ahmad aur Ahl-e-sunan ne sahih sanad ke saath riwaayat kiya hai.
Nez Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الْكُفْرِ وَالشَّرْكِ تَرْكُ الصَّلَاةِ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab Bayaan itlaaq Isim Al-Kufur ‘Ali Tark Al-Salaat, H: 82)
“Aadmi aur kufur-o-shirk ke darmiyaan farq tark-e-Namaz ki wajah se hai.”
Iss se Imaam Muslim ne Hazrat Jabir رضى الله عنه se riwaayat kiya hai lehaaza taarik-e-Namaz kaafir hai khuwah woh Namaz ke wajoob ka inkaar kare ya na kare haan agar woh Namaz ke wajoob ka munkir hai to is par tamaam musalmaanon ka ijma’a hai ke woh kaafir hai aur agar woh susti aur kaahli ki wajah se Namaz tark karta aur us ke wajoob ka inkaar nahi karta hai to mazkoora baala do aur un ke hum ma’ani deegar Ahadees ke pesh-e-nazar ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq woh bhi kaafir hai!
Ae sawaal karne waali khaatoon! Tere liye us waqt tak apne mazkoora shohar ki taraf wapas jaana jaaiz nahi, Jab tak woh Allah Subhaan-o-Ta’ala ki bargaah mein tawbah karke Namaz ki hifaazat nahi karta. Allah Ta’ala us se hidaayat bakshe aur khaalis tawbah ki toufeeq ‘ataa farmaaiye. Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…