Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

583. Jis ne ‘arsa-e-daraaz tak Namaz ko chody rakha Woh ab kese qaza de?

Jis ne ‘arsa-e-daraaz tak Namaz ko chody rakha Woh ab kese qaza de?

[Sawaal]

Namaazon ki qaza ke hawaale se yeh sawaal poocha jaata hai ke jab insaan kayi saalon tak Namaz ko tark kiye rakhe to Kia us ke liye qaza dena jaaiz hai? Aur qaza dete hue Kia har waqt ki Namaz ke saath us waqt ki Namaz ki qaza de ya kis tarah qaza de?

[Jawab]

Jab aadmi kayi saal tak Namaazon ko tark karne ke ba’d tawbah kar le aur Namaz ko (Ba qaa’idgi ke saath) paabandi se padhna shur’u kar de to us par matrooka (Chodi hoi) Namaazon ki qaza laazim nahi hai kyunke agar matrooka tamaam Namaazon ki qaza bhi laazim hoti to is se bohat se tawbah karne waale bad dil ho jaate lehaaza tawbah karne waale ko shariy’at ka sirf yeh hukm hai ke woh mustaqbil mein Namaz ki paabandi kare aur kasrat ke saath nawaafil padhe Sadqa-o-khairaat kare aur deegar neiki ke kaam kare, Us se Allah Ta’ala apne bandon ki tawbah ko qubool farma leta hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents