586. khajaalat-o-sharmindgi ki wajah se ghar mein Namaz padhna
khajaalat-o-sharmindgi ki wajah se ghar mein Namaz padhna
[Sawaal]
Mein ghar mein Namaz padhta hoon aur is ka sabab yeh hai ke meri tabiyat mein sharmeela pan bohat ziyaada hai. Mein nawaafil , dua’a aur tasbeeh bhi kasrat se padhta hoon To Kia ghar mein padhi jaane waali Namaz qubool nahi hoti?
[Jawab]
Aap par Farz yeh hai ke Namaz Masjid mein ba jama’at adaa karen. Woh khajaalat aur sharmeela pan jo kisi shar’i waajib ke tark ka sabab bane’ Woh buzdili hai. lehaaza is khajaalat ki wajah se waajib ko tark karna jaaiz nahi lehaaza apne aap ko Masjid mein ba jama’at Namaz adaa karne ka ‘aadi banaana chaahiye. Ek din agar khajaalat mehsoos ho gi to doosre din yeh khud bakhud khatam ho jaae gi lekin agar nobat yahaan tak pohanch jaae ke aap ke liye Masjid mein jaana mutlaqan mumkin na ho aur aap ghar mein Namaz padh lein to aap ko gunaah na ho ga kyunke yeh khajaalat waghaira bhi ek ‘uzr hai aur Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ
(Al-Taghabun 6416)
“So jahan tak ho sake tum Allah se daro.”
Aur Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya hai ke:
إِذَا أَمَرْتُكُمْ بِأَمْرٍ فَأْتُوا مِنْهُ مَا اسْتَطَعْتُمْ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Hajj, Baab Farz Al-Hajj Marat fi Al-‘Umar, H: 1337, -O-Masnad Ahmad, 22, 508)
“Jab mein tumhein koi hukm doon to maqdoor bhar us ki ita’at bajaa laao.”
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…