Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

588. Munfarid ke liye Namaz tod kar jama’at mein shaamil hona jaaiz hai

Munfarid ke liye Namaz tod kar jama’at mein shaamil hona jaaiz hai

[Sawaal]

Ek shakhs tanha Farz Namaz padh raha tha ke isi asna mein ek jama’at Masjid mein daakhil hoi aur us ne Namaz ba jama’at shur’u kar di to Kia yeh shakhs apni Namaz ko tod de ya Nafil ki niyyat kar le taake un ke saath mil kar ba jama’at Namaz adaa kar sake?

[Jawab]

Afzal yeh hai ke us se Nafil Namaz mein badal de aur phir ba jama’at Namaz adaa karne waalon ke saath shaamil ho jaae taake Namaz ba jama’at ka ajar-o-sawaab haasil kar sake aur agar Namaz ko tod kar ba jama’at adaa kare to is mein bhi koi harj nahi kyunke us ne Namaz hi se muta’lliq ek shar’i masleehat ki wajah se Namaz ko toda hai.Wallahu waali Al-Toufeeq.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents