590. Matrooka Namaazon ki qaza laazim nahi
Matrooka Namaazon ki qaza laazim nahi
[Sawaal]
Pehle mein Namaz nahi padhta tha, Phir Allah Ta’ala ne mujhe hidaayat ‘ataa farma di aur mujhe Namaz padhne ka shouq paida ho gaya to ab sawaal yeh hai ke Kia guzishta saalon ki Namaazon ki qaza mujh par laazim hai ya nahi?
[Jawab]
Jab insaan kayi saal tak Namaazein chode rakhe aur phir tawbah kar ke unhein baqaaidgi ke saath padhna shur’u kar de to us par chodi hoi Namaazon ki qaza laazim nahi hai kyunke aisi shart ki soorat mein bohat se log tawbah hi se bad dil ho jaaein ge haan albatta tawbah karne waale ke liye hukm yeh hai ke woh ab aainda Namaz ki poori poori hifaazat kare aur kasrat ke saath Nawaafil padhe, Taa’at-e-Ilaahi baja laae, neiki ke kaam kare, Taqqarub-e-Ilaahi ke husool ke liye koshish kare aur Allah Ta’ala ke dar aur khauf ko apne dil mein jagah de.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…