615. Jab Imaam qiraat mein ghalti kare aur koi tasheeh karne waala bhi na ho
Jab Imaam qiraat mein ghalti kare aur koi tasheeh karne waala bhi na ho
[Sawaal]
Jab Imaam Namaz mein Qur’an-e-Majeed ki qiraat kar raha ho aur phir woh Aayat ka aakhri hissa bhool jaae aur Namaaziyon mein se bhi koi rehnumaai karne waala na ho to Kia woh takbeer keh kar Ruko’ mein chala jaae ya koi doosri soorat padhni shur’u kar de?
[Jawab]
Is soorat mein us se ikhtiyaar hai ke agar chaahe to Allahu Akbar keh kar qiraat ko khatam kar de aur agar chaahe to kisi doosri soorat ki ek ya chand Aayat padh le jaisa ke is Namaz se muta’lliq Sunnat-e-Motaharah ka taqaaza ho basharteke is bhool ka ta’lluq Surah Fatiha se na ho aur agar is ka ta’lluq Surah Fatiha se ho to mukammal Surah Fatiha ki qiraat waajib hai kyunke Surah Fatiha ki qiraat Namaz ka rukan hai. Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…