623. Andaroon-e-shehar musaafir ke liye jam’a-o-qasar ka hukm
Andaroon-e-shehar musaafir ke liye jam’a-o-qasar ka hukm
[Sawaal]
Jab mein musaafir hoon aur us shehar mein sukoonat pazeer jis ki taraf teen ya chaar ya us se kam-o-pesh din rehne ke liye safar kar ke gaya hoon aur mein Zuhr ke waqt Masjid mein gaya aur jama’at ke saath Zuhr ki chaar raka’atein adaa kin’ Phir main ne akele khade ho kar Namaz-e-‘Asar qasar ki soorat mein adaa kar li to Kia mera yeh ‘amal jaaiz hai? Kia mere liye yeh jaaiz hai ke mein apni rehaaish gaah par Namaazon ko jam’a aur qasar ke saath adaa karta rahoon jab ke mera Qayaam andaroon-e-shehar ho jahan Masjiden bhi bohat hon, Mein azaan ki awaaz bhi sunoon lekin musaafir hone ki buniyaad par rehaaish gaah par hi Namaazon ko adaa karta rahoon?
[Jawab]
Jis musaafir ka kisi shehar mein chaar din se ziyaada iqaamat ka iraadah ho to jamhoor-e-Ahl-e-ilm ke nazdeek us ke liye poori Namaz padhna waajib hai aur agar is se kam muddat ki iqaamat ka iraadah ho to phir qasar-e-afzal hai aur agar poori Namaz bhi padh le to koi harj nahi aur agar musaafir akela ho to us se akela hi Namaz-e-qasar nahi padhni chaahiye balkeh us ke liye waajib yeh hai ke ba jama’at poori Namaz adaa kare jaisa ke un Ahaadees se saabit hai jo jama’at ke wajoob par dalaalat kanaan hain. Sahih Muslim mein Hazrat Ibn-e-‘Abbas رضى الله عنهم se marwi hai ke musaafir ke liye Sunnat yeh hai ke jab woh Imaam muqeem ke saath Namaz adaa kare to chaar raka’atein padhe (1) kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ke is Irshaad ke ‘umoom ka bhi yehi taqaaza hai ke:
إِنَّمَا جُعِلَ الإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ بِهِ فَلَا تَخْتَلِفُوا عَلَيْهِ
“Imaam is liye banaaya jaata hai ke us ki iqtida ki jaae lehaaza Imaam se ikhtilaaf na karo.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab iqaamat Al-Saf min Tamaam As-Salaat, H: 722,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-tashahhud fi Al-Salaat, H: 404, 411)
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
(1) (Sahih Muslim’ Kitaab Salaat Al-Musafireen’ Baab Salaat Al-Musafireen-o- Qasarha’ H: 687)
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…