Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

624. Safar mein Namaz Jam’a karna

Safar mein Namaz Jam’a karna

[Sawaal]

Ba’az log jab Riyaaz se Kharj ka safar karte hain jo assi kilometer ke qareeb faasla banta hai, To woh raasta mein Namaz jam’a kar ke padhte hain, Kia un ka yeh f’el sahih hai?

[Jawab]

Haan musaafir ko ijaazat hai, Woh Namaz jam’a karke bhi padh sakta hai aur har Namaz ko apne waqt par bhi lekin musaafir jab iqaamat ikhtiyaar kare to phir har Namaz ko us ke waqt par adaa karna afzal hai jis tarah Nabi Kareem (ﷺ) ne hajjat-ul-Wida’ ke mouq’a par har Namaz ko mana mein us ke waqt par adaa farmaate rahe.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents