Search
628. Haaji ke liye Namaz qasar karne ka hukm
Haaji ke liye Namaz qasar karne ka hukm
[Sawaal]
Haaji ke liye Namaz qasar karne ka Kia hukm hai jab Makka Mukarrama mein chaar din se ziyaada iqaamat ho?
[Jawab]
Haaji ki Makka Mukarrama mein iqaamat chaar din ya us se kam muddat ke liye ho to us ke liye Sunnat yeh hai ke chaar raka’aton waali Namaz ki do raka’at padhe kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka hajjat-ul-Wida’ mein yehi ‘amal tha. Aur agar iraadah chaar din se ziyaada Qayaam ka ho to ehtiyaat yeh hai ke woh Namaz qasar karne ki bajaae poori padhe aksar Ahl-e-ilm ka yehi qawl hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…