636. Kia Riyaaz se Kharj jaana safar shumaar ho ga?
Kia Riyaaz se Kharj jaana safar shumaar ho ga?
[Sawaal]
Kia Riyaaz se Kharj tak ke safar mein Maghrib aur ‘Ishaa ki Namaazon ko jam’a kar ke padhna jaaiz hai jab ke un donon shehron ke mabain qareeban assi (80) kilometer ka faasla hai?
[Jawab]
Riyaaz se Kharj jaana bilaa shak-o-shuba safar hai kyunke un donon shehron ke mabain taweel musaafat hai aur phir yeh donon shehr alag aur mustaqil hain, In mein se ek doosre ki taraf mansoob bhi nahi hai lekin agar yeh aamad-o-raft sirf is qadar ho ke zaroorat ko poora kiya aur phir usi din waapsi ho gai to zaahir hai ke us se safar shumaar nahi kiya jaae ga kyunke us ke liye saamaan-e-safar to tayyaar hi nahi kiya gaya jaisa ke bohat se log shaadi ki taqreeb ya kisi da’wat waghaira mein shirkat ke liye jaate aur usi din wapas laut aate hain to log us se safar shumaar nahi karte lekin jo log safar ka andaaza musaafat ke saath karte hain, Un ke nazdeek agar safar tiraasi (83) kilometer se ziyaada ho to woh safar hai khuwah aadmi usi din wapas laut aae.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…