Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

638. Safar se pehle apne hi shehar mein qasar aur jam’a karna

Safar se pehle apne hi shehar mein qasar aur jam’a karna

[Sawaal]

Kia musaafir ke liye yeh jaaiz hai ke apne shehar ko chodne se pehle do Namaazon ko qasar aur jam’a ke saath adaa kare?

[Jawab]

Musaafir ke liye apne shehar mein Namaz qasar karna Halaal nahi hai balkeh qasar ke liye safar-e-shart hai.

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“Aur jab tum safar ko jaao to tum par kuch gunaah nahi ke Namaz ko kam kar ke padho.”

Aur aadmi zameen mein safar karne waala usi waqt kehlaae ga jab woh apne shehar se bahar nikal pade ga haan albatta agar yeh khadsha ho ke safar mein doosri Namaz ka padhna mumkin na ho ga,to woh jam’a-e-taqdeem ki soorat mein pehli Namaz ke saath padh sakta hai, Khuwah apne shehar mein hi ho aur agar aisa khadsha na ho to phir jam’a karna bhi jaaiz nahi kyunke abhi tak woh apne shehar mein hai aur us ne safar ka aaghaaz nahi kiya.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents