Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

640. Musaafir jab kisi shehar mein pohanch jaae to Kia phir bhi jam’a aur qasar kare?

Musaafir jab kisi shehar mein pohanch jaae to Kia phir bhi jam’a aur qasar kare?

[Sawaal]

Kia musaafir jab kisi shehar mein pohanch jaae aur wahan ke mustaqil baashindon mein se to na ho lekin woh ‘ilaaj waghaira ki gharz se wahan do ya teen din ke liye muqeem ho to us ke liye yeh jaaiz hai ya nahi ke Namaz ko jam’a aur qasar ke saath adaa kare?

[Jawab]

Jab Musaafir kisi shehar mein pohanch jaae aur wahan kisi maqsad ki Khaatir us ka Qayaam ho ke maqsad poora hone ke ba’d us ne wapas lautna ho to woh musaafir hi hai. ‘Aurat Namaz ko qasar to kare gi lekin jam’a nahi kare gi Jam’a kar bhi le to koi harj nahi, Mard ko jama’at ke saath Namaz adaa karna aur poori Namaz padhna laazim ho ga haan albatta agar jama’at Faut ho jaae to phir woh do raka’at padh sakta hai khuwah us ki muddat-e-Qayaam taweel ho ya qaseer khuwah woh ek maah ya do maah ya paanch maah ya is se bhi ziyaada muddat ke liye Qayaam kare basharteke us ki iqaamat is tarah ki shart ke saath mashroot ho ke joonhi us ka gharz poori ho gai ,Woh apne watan wapas laut jaae ga.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents