Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

641. Kia muddat-e-ta’leem ke dauraan qasar aur jam’a kiya jaa sakta hai?

Kia muddat-e-ta’leem ke dauraan qasar aur jam’a kiya jaa sakta hai?

[Sawaal]

Mein Bartaniya mein ta’leem haasil karne aaya hoon to Kia muddat-e-ta’leem ke dauraan Namaazon ko qasar aur jam’a kar ke adaa kar sakta hoon? Aur Kia is haalat mein Ramzan mein bhi qasar aur jam’a kar sakta hoon ya nahi?

[Jawab]

Musaafir ke liye Namaz ko us soorat mein jam’a karna jaaiz hai jab woh raaste par chal raha ho aur har Namaz ke liye sawaari se utarna aur padaao daalna mushkil ho to us ke liye yeh jaaiz hai ke do Namaazon mein se kisi ek ke waqt mein donon ko padh le lekin agar musaafir baqaaida iqaamat pazeer ho to woh jam’a nahi kare ga balkeh us se har Namaz waqt par adaa karna pade gi khuwah woh poori Namaz padhe ya qasar basharteke qasar us ke liye jaaiz ho aur qasar us musaafir ke liye jaaiz hai jis ne rakht-e-safar baandh rakha ho khuwah jungle mein kisi zaroorat ke pesh-e-nazar padaao hi kio na daal diya ho ya shehar ke ek kinaarah par quba ya khaima laga kar intezaar mein ho ke joon hi us ka kaam poora ho jaae ga woh yahan se chal pade ga lekin agar woh andaroon-e-shehar muqeem ho gaya ho aur taweel-e-muddat tak iqaamat ka iraadah kar liya ho aur agarcha woh yahan ka mustaqil bashandah to nahi lekin us ne sukoonat ke liye yahan ek kamraah ya ek kushadaah makaan haasil kar liya ho aur us ke paas hasb-e-zaroorat har tarah ka samaan-e-zest bhi ho to is haal mein us ke liye Namaz qasar karna jaaiz nahi aur na Ramzan mein iftaar karna jaaiz hai kyunke is haalat par safar ka atlaq nahi hota. Is haalat mein us ke aur shehar ke mustaqil baashindon ke darmiyaan koi farq nahi aur Namaz poori padhne aur Roza rakhne mein us se kisi mushaqqat ka bhi saamna nahi.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents