643. Mareez kis tarah Namaz adaa kare?
Mareez kis tarah Namaz adaa kare?
[Sawaal]
Mareez kis tarah Namaz adaa kare?
[Jawab]
Mareez ke liye waajib hai ke:
(1) Farz Namaz ko khada ho kar adaa kare khuwah us ke liye us se jhukna pade ya bawaqt-e-zaroorat kisi dewaar ya ‘asaa waghaira ka sahara lena pade.
(2) Agar mareez khada ho kar Namaz na padh sakta ho to beth kar padh le aur afzal yeh hai ke Qayaam aur Ruko’ ki haalat mein chaukdi maar kar bethe.
(3) Agar us se beth kar Namaz adaa karne ki bhi taaqat na ho to qibla-e-rukh lait kar padh le daaein jaanib let kar padhna afzal hai, Agar qibla-e-rukh mutawajjah hona mumkin na ho to jis taraf munh karna mumkin ho, Namaz padh le Us ki Namaz sahih ho gi aur i’aadah bhi laazim na ho ga.
(4) Agar pehlu ke bal letna mumkin na ho to chat let kar padh le Dono paaon qibla-e-rukh kare aur afzal yeh hai ke sar thoda sa ooncha kar le taake woh qibla-e-rukh ho aur agar paaon ko qibla-e-rukh karna mumkin na ho to jaise mumkin ho us tarah padh le Is soorat mein bhi i’aada laazim na ho ga.
(5) Mareez ke liye bhi Namaz mein Ruko’-o-sajdah waajib hai aur agar is ki taaqat na ho to sar ke ishaarah ke saath Ruko’-o-sajdah kare, Sajdah mein Ruko’ ke nisbat sar ko ziyaada jhukaae , Agar Ruko’ mumkin ho to Ruko’ kare aur sajdah ishaarah ke saath kare aur agar sajdah mumkin ho to sajdah kareh aur Ruko’ ishaarah se kar le.
(6) Agar Ruko’-o-sajood sar ke ishaare se mumkin na ho to donon aankhon se ishaarah kar le Ruko’ ke liye aankhon ko thoda band kare lekin sajdah ke liye ziyaada band kar le. Ba’az mareez jo ungli se ishaarah karte hain to yeh sahih nahi hai, Kitaab-o-Sunnat aur Ahl-e-ilm ke aqwaal se is ki koi asal ma’loom nahi ho saki.
(7) Agar sar ya aankh ke saath ishaarah ki bhi taaqat na ho to dil mein Namaz padh le Takbeer kahe aur padhe aur Ruko’ , Sujood , Qayaam aur qu’ood ki dil mein niyyat kar le.
(( لِكُلِّ امْرِی مَّا لَوی))
(8) Mareez ke liye bhi yeh zaroori hai ke Namaz ko waqt par adaa kare aur maqdoor bhar koshish kar ke tamaam waajibaat ko poora kare. Agar har Namaz ko waqt par adaa karna us ke liye mushkil ho to phir Zuhr-o-‘Asar aur Maghrib-o-‘Ishaa ko jam’a kar ke padh le aur jis tarah us ke liye asaani ho jam’a-e-taqdeem ya jam’a-e-taakheer donon tarah jaaiz hai lekin Fajr ki Namaz tanha padhi jaae gi us se kisi agli ya pichli Namaz ke saath jam’a karna jaaiz nahi.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…