649. Khateeb khutba-e-Jumm’a ke dauraan bemaar ho gaya aur woh Namaz na padh saka
Khateeb khutba-e-Jumm’a ke dauraan bemaar ho gaya aur woh Namaz na padh saka
[Sawaal]
Imaam Sahab ne Jumm’a ke din khutba diya lekin phir woh doosre khutba ke dauraan bemaar pad gae Khutba mukammal karne ke ba’d mimbar se neeche utar aae aur shiddat-e-marz ke baa’is khade na ho sake, Phir Namaz ke poora hone ke ba’d unhein us marz se aafaaqa hoa to Kia woh qaza ke taur par Namaz-e-Zuhr padhen ge ya Namaz-e-Jumm’a jab ke unhein aafaaqa hoa to abhi Jumm’a ka waqt khatam nahi hoa tha?
[Jawab]
Jo shakhs Imaam ke saath Namaz-e-Jumm’a ki ek raka’at na paa sake, us se Namaz-e-Zuhr padhni ho gi kyunke Nabi (ﷺ) ke is Irshaad ka yehi mafhoom hai ke:
مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الْجُمُعَةِ فَقَدْ أَدْرَكَ الصَّلَاةَ
“Jo shakhs Jumm’a ki ek raka’at paa le us ne Namaz-e-Jumm’a ko paa liya”
(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab iqaamat Al-Salwaat, Baab maa jaa faiman adrak min Al-jummu’a raka’at, H: 1123)
Aur yeh shakhs to Imaam ke saath Namaz-e-Jumm’a mein bilkul shareek hi na ho saka tha lehaaza us se Zuhr ki Namaz adaa karni ho gi.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…