Search
653. Jis shakhs ka Jumm’a Faut ho jaae woh Namaz-e-Zuhr adaa kare
Jis shakhs ka Jumm’a Faut ho jaae woh Namaz-e-Zuhr adaa kare
[Sawaal]
Jab mein Masjid mein ba jama’at Namaz-e-Jumm:a adaa na kar sakoon to Kia Jumm’a ki niyyat se ghar mein do raka’atein padhoon ya Zuhr ki niyyat se chaar raka’at?
[Jawab]
Jo shakhs kisi shar’i ‘uzr maslan beemaari waghaira ya deegar asbaab ki wajah se musalmaanon ke saath mil kar Namaz-e-Jumm’a adaa na kar sake to us se Namaz-e-Zuhr padhni chaahiye. Isi tarah ‘Aurat , Musaafir aur baadiya nasheen log bhi Namaz-e-Zuhr adaa karen ge jaisa ke Sunnat se saabit hai, Aksar Ahl-e-ilm ka bhi yehi qawl hai aur un se alag raah ikhtiyaar karne waale ka koi e’itbaar nahi.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…