656. Shehar se bahar kaam karne waale muzaar’een par bhi Jumm’a waajib hai?
Shehar se bahar kaam karne waale muzaar’een par bhi Jumm’a waajib hai?
[Sawaal]
Kuch log apne zara’at ke kaam ke liye shehar se nikal kar apne kheton mein chale jaate hain aur kaam ki gharz se har saal do se chaar maah tak apne kheton hi mein guzaarte hain. Kaam ki is muddat ke dauraan Namaz-e-Jumm’a ke liye shehar mein waapas aana unhein bohat mushkil hota hai, To Kia un ke liye Jumm’a waajib hai ya jaaiz ya un ke liye kaam ki jagah par iqaamat jaaiz nahi aur un ke liye laazim hai ke shehar mein jaaein khuwah us mein takleef hi ho ya musaafir ki tarah un se Jumm’a saaqit ho jaae ga? Kaam ki jagah iqaamat ke dauraan kitni muddat tak un se Jumm’a saaqit rahe ga?
[Jawab]
Agar un kheton mein logon ki ek jama’at muqeem ho to un muqeem logon ki mutaabi’at mein un par bhi Jumm’a waajib ho ga aur unhein chaahiye ke un ke saath ya kuch doosre logon ke saath jin ke saath asaani se mumkin ho mil kar Namaz-e-Jumm’a adaa karen kyunke Jumm’a ke wajoob aur us ke liye sa’ee-o-koshish ke wajoob ke dalaail ke ‘umoom ka yehi taqaaza hai.
Un kheton mein kaam karne waale agar apni basti ya kisi doosre gaoon ki jo un ke kheton ke qareeb ho azaan ki awaaz ko sunte hon to phir wahan musalmaanon ki jama’at ke saath mil kar Namaz-e-Jumm’a adaa karna waajib hai kyunke hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala ke ‘umoom ka yehi taqaaza hai ke:
يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِىَ لِلصَّلٰوةِ مِنۡ يَّوۡمِ الۡجُمُعَةِ فَاسۡعَوۡا اِلٰى ذِكۡرِ اللّٰهِ
(Al-Jumm’a 629)
“Momino! Jab Jumm’a ke din Namaz ke liye azaan di jaae to Allah ki yaad (Yaane Namaz) ke liye jaldi karo.”
Aur agar un kheton mein muqeem log na hon aur na woh kheton mein bastiyon se azaan-e-Jumm’a ki awaaz sunein to un par Jumm’a waajib na ho ga lehaaza woh Namaz-e-Zuhr ba jamaa’t adaa kar lein.
Nabi Kareem (ﷺ) ke ‘ehd mein Madinah ke gird qabaail bhi the aur nawaah mein khet bhi lekin aap ne unhein hukm nahi diya ke woh Namaz-e-Jumm’a ke liye sa’ee-o-koshish karen, Agar aap ne unhein koi aisa hukm diya hota to yaqeenan manqool hota to is se ma’loom hoa ke mushaqqat ki wajah se aise logon par Jumm’a waajib nahi hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…