Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

668. Jumm’a ke din khutba ke waqt khaamosh rehna waajib hai

Jumm’a ke din khutba ke waqt khaamosh rehna waajib hai

[Sawaal]

Us shakhs ke baare mein Kia hukm hai jo Jumm’a ke din us waqt ghair sha’oori taur par baat kare, Jab khateeb khutba de raha ho? Maslan kisi dost ne salaam kaha to jawaab mein salaam ‘allaik keh diya, Dekha ke qareeb hi bachhe baatein kar rahe hain to un se keh diya ke khaamosh ho jaao?

[Jawab]

Jumm’a ke din jab khateeb khutba de raha ho, Khateeb ko sunne aur khutba ki taraf mutawajjah hone ki wajah se khaamosh rehna zaroori aur us waqt kalaam karna Haraam hai khuwah yeh kalaam amar bil ma’roof hi ke liye kio na ho, Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai:

إِذَا قُلْتَ لِصَاحِبِكَ أَنْصِتْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ وَالإِمَامُ يَخْطُبُ فَقَدْ لَغَوْتَ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Jumm’a, Baab Al-Ansaat Youm Al-Jumm’a-o-Al Imaam Yakhtab, H: 934,-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Jumm’a, Baab fi Al-Insaat Youm Al-Jummum’a fi Al-Khutba, H: 851)

“Jab khateeb khutba de raha ho aur tum apne saathi se yeh kaho ke khaamosh ho jaao to yeh tum ne laghu kaam kiya.”

Fazool kaam karna, Zameen ya dari ya chataai waghaira ko us waqt durust karna bhi Haraam hai, Hadees mein aaya hai:

وَمَنْ مَنَّ الْحَصَى فَقَدْ لَغَاء

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Jumm’a, Baab Fazal min Istama’a-o-Ansat fi Al-Khutba, H: 857)

“Jis ne kankari ko chuwa us ne bhi laghu kaam kiya.”

Lekin Imaam mustasna hai, Us ke liye yeh jaaiz hai ke Jumm’a ke liye aane waalon se baat kare ya Jumm’a padhne waalon mein se koi bawaqt-e-zaroorat Imaam se baat kare. Imaam ke ‘ilaawa kisi doosre ke liye baat karna ya kisi doosre se mukhaatib hona jaaiz nahi. Agar koi tumhein salaam kare to us ke salaam ka ishaarah se jawaab do Isi tarah bachon ko bhi ishaarah se khaamosh karaao , Baat na karo. Agar koi shakhs azraah-e-jahaalat baat kare, To woh ma’zoor hai aur agar koi mazkoora wa’eed ko jaante hue daanista baat kare, To woh khata kaar hai lekin us se yeh hukm nahi ke woh Namaz ko dohraae. Wallahu A’lam.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents