Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

677. Khauf ki wajah se Jumm’a saaqit ho jaae ga

Khauf ki wajah se Jumm’a saaqit ho jaae ga

[Sawaal]

Ek shakhs ki Namaz-e-Jumm’a ke waqt ek idaare ke samaan ki hifaazat ke liye bataur-e-choukidaar duty hai aur woh is baat se darta hai ke agar woh Namaz ke liye gaya to samaan chori ho jaae ga. To Kia is se Namaz-e-Jumm’a saaqit ho jaae gi?

[Jawab]

Bazaahir yehi ma’loom hota hai ke is se Jumm’a saaqit ho jaae ga basharteke samaan ki chori ka khauf yaqeeni ho aur yeh mumkin na ho ke samaan ko mazboot ‘imaarat ke andar rakh kar hifaazat ke liye taala laga diya jaae aur us ‘ilaaqe mein aise chor aur uchakke maujood hoon jo Namaz-e-Jumm’a padhne ki bajaae logon ki ghaflat se faaida utha kar samaan utha lete aur ghair mehfooz jagah par pade hue saaz-o-samaan ko chura lete hon aur agar chori ka andesha haqeeqi na ho balkeh yeh sirf wehm ki Karishma saazi ho to us se kisi se bhi Jumm’a saaqit na ho ga aur jab khauf ka andesha yaqeeni ho to us soorat mein samaan ke paas ek aadmi ya utne aadmi reh jaaein jo baqadar zaroorat hon aur phir deegar choukidaaron waghaira ki aamad ke ba’d yeh Namaz-e-Zuhr padh lein. Wallahu Aalam

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents