681. Jumm’a ke din Imaam ki dua’a par Ameen kehna
Jumm’a ke din Imaam ki dua’a par Ameen kehna
[Sawaal]
Kia khutba ke ba’d Namaz-e-Jumm’a mein muqtadiyon ka Imaam ki dua’a par Ameen kehna bidd’at hai? Yaane jab Imaam dua’a kare aur hum us par Ameen kahen to Kia yeh bidd’at hai?
[Jawab]
Khutba mein Imaam ki dua’a par muqtadiyon ka Ameen kehna jab ke woh musalmaanon ke liye dua’a kar raha ho, Bidd’at nahi hai balkeh mustahab hai ke Imaam ki dua’a par Ameen kahi jaae lekin Ameen ijtimaa’i tair par buland awaaz ke saath na kahi jaae balkeh har shakhs infiraadi taur par aahista se Ameen kahe taake tashweesh paida na ho aur Masjid mein awaazein buland na hon lehaaza har Namazi ko chaahiye ke woh doosron se alag apne taur par aur aahista se khateeb ki dua’a par Ameen kahe!
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…