Search
Sections
< All Topics
Print

02. ALLAH KAUN HAI? [Who is Allah]

Allah Kaun Hai?

Hum mukhtalif logon se suntay hain jo Allah Ta’alaa Ka Taaruf unki apni Aqal wa samajh kay mutaabiq kartey hain, aur baa’z musalmaan unhi nazariaat aur afkar se mutassir ho jatay hain. Allah Ta’alaa kay taruf ko samajhney aur us kay mutaliq ilm hasil karne ka sabse behtareen zaria khud Allah Rabbul Alameen , Quran Majeed  aur Rasool Allah(ﷺ) ka Allah Ta’alaa kay mutaliq taruf karwana hai, jisay Sahaba (Radhi Allah Anhuma Aj’ma’een) kay feham kay mutabiq samajhna chahiye. Allah Ta’alaa jo is Kaayenaat ka khaaliq, maalik aur Mudabbir hai, Quran ko nazil farmaya taake hum apni zindagi ko bamani banayen aur Akhirat mein kamyaab hoon, agar hum Quran-e-Majeed par taddabbur kare yani khule dil aur dimaag say gour karengay toh humein Allah Ta’alaa ka haqeeqi taruf hasil ho sakega jis kay zariye hum Allah Ta’alaa kay huqooq ko ache se samajh sakengay aur iski khalis bandagi karne mein humein madad milegi jaise kay us ki ibadat karney ka haq hai.

Ism jalaala “Allah” ki lughwi tahqeeq: Ye Allah Ta’alaa ka zaati naam hai jo sirf Allah hi kay liye khaas hai koi aur zaat Allah Ta’alaa kay ilawah is naam se mosoom nahi ho sakti, ye “illallah” se mushtaq hai jis ke maienay hain” Ma’bood” ke ya” woh zaat jo ibadat ki mustahiq hai. 

Abdullah bin Abbas(رضی اللہ عنہ) farmaate hain ke lafz “Allah” kay maienay yeh hai keh

“woh ausaaf kamalah aur sifaat jameah ki maalik zaat jo saari makhlooq ki Ib’adat ki akeli haqdaar aur mustahiq hai”. 

Allah Ta’alaa ka ye naam Quraan Kareem me sabse ziyada istemaal huwa hai , taqreeban 2200 martabah, Allah ka mutradif lafz kisi bhi zabaan mein nahi hai aur na hi is lafz ka hu ba hu tarjumah mumkin hai.

 Farmaan Baa’ri Ta’alaa hai :

Allah Ta’alaa hi Ma’bood barhaq hai jiske siwa koi Ma’bood nahi jo zinda aur sabka thaamnay wala hai, jise na Oungh aye na Neend, uski milkiyat mein Zameen aur Asmaanon ki tamam cheezein hain. 

Kon hai jo uski ijaazat kay baghair us kay saamnay shifaa’at kar sakey, woh jaanta hai jo un kay saamney hai aur jo un kay peeche hai aur woh uskay ilm mein say kisi cheez ka ahatah nahi kar saktey magar jitna wo chahey, ussi ki kursi ki wusat nay Zameen o Aasmaan ko ghair rakha hai aur Allah Ta’alaa unki hifaazat say na thakta aur na uktaata hai, wo toh bohot buland aur bohot bada hai.”

[Surah Baqrah : 2: 255] , 

Aur farmaaya:

Tum sab ka Ma’bood aik hi Ma’bood hai, uss kay siwa koi Ma’bood barhaq nahi woh bohat Reham karney wala aur bada meherbaan hai.

 [Surah Baqrah:2:163]

Nez farmaaya:

Beshak mein hi Allah hoon, mere siwa ibaadat kay laayaq aur koi nahi pas tu meri hi ibaadat kar, aur meri yaad kay liye namaz qayam rakh.”

 [SurahTaa ha:20: 14] 

Nez farmaaya:

Aap keh dijiye ke woh Allah aik (hi) hai.

 [Surah Ikhlas:1]  

 Allah Ta’alaa hi Rab hai :

“Rab” ka lafz lughat me Maalik , Mudabbir, Murabbir, Nigran kay liye mustamil hai, yeh lafz baghair izaafat ke sirf Allah Ta’alaa kay liye hi khaas istemaal hota hai, aur jab isse kisi aur ke liye istemaal kiya jata hai toh izafat kay saath istemaal kiya jata hai, jaise “Rab al-bait” ghar kay Maalik ko kaha jata hai, Allah Ta’alaa Rububiyat mein akela aur tanha hai Rububiyat me iska koi shareek aur humsar nahi hai.

[114:08]

Tawheed Ar Rububiah:

Allah Ta’alaa apney tamaam Afaal me yaktaa aur akela hai, yaani Allah Ta’alaa “Khalq” “mulk” “tadbeer” mein yaktaa aur akela hai, Allah Ta’alaa hi har cheez ka khaaliq, Maalik aur Mudabbir hai aur sari kayenaat ka nizaam wohi chala rahay. 

Farmaan baari Ta’alaa hai :

Sab tareef Allah Ta’alaa kay liye hai jo tamaam jahanon ka Rab ( Paalnay waala ) hai.

Aur farmaaya :

Beshak tumhara Rab Allah hi hai jis nay sab Aasmano aur Zameen ko chay (6) roz mein paida kiya hai, phir Arsh par qayam hua. woh shab say din ko aisay tor par chhupa deta hai ke woh shab is din ko jaldi say aa layte hai aur Sooraj aur Chaand aur dosray sitaron ko paida kiya aisay tor par ke sab is kay hukum kay tabay hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khaas hai khaaliq hona aur haakim hona, badi khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamaam Aalam ka parwardigaar hai.

[Surah Aaraf:07:54] 

Aur farmaaya

logon! tum par jo inaam Allah Ta’alaa nay kiye hain inhein yaad karo. Kya Allah ke siwa aur koi bhi khaaliq hai jo tumhe Aasman wa zameen say rozi pohanchaye? iss kay siwa koi mabood nahi. Pus tum kahan ulthay jatay ho.

[Surah Fatir:35:03], 

Aur farmaya :

Aasmanon aur Zameen ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Ta’alaa har cheez par Qadir hai .

[Surah Al Imraan :03:189]

 

Aur farmaaya :

Pochhiye ke tamaam cheezon ka ikhtiyar kis kay haath mein hai? 

Jo panaah deta hai aur jis kay muqablay mein koi panaah nahi diya jata, agar tum jantay ho toh batla do?

[Surah Muminun:23:88]

 Allah Ta’alaa hi sacha Ma’bood hai:

Allah Ta’alaa hi Ma’bood barhaq hai, us kay ilawah saaray Ma’bood baatil hai aur ibadat ki zahiri o baatini ki har qis am sirf Allah Ta’alaa kay liye khaas hai, ibadat ki kisi qis am mein bhi is ka koi shareek nahi .

Tawheed Al Uluhiyyah :

Jab Allah Ta’alaa hi is kaayenaat ka Khaaliq, Maalik aur Mudabbir haqeeqi hai to phir ibadat ka haqeeqi haqdaar bhi isi ki zaat hai, 

farmaan baari Ta’alaa hai :

Yeh sab ( intizamaat ) is wajah se hain ke Allah Ta’alaa haq hai aur iss kay siwa jin jin ko log pukartay hain sab baatil hain aur yaqeenan Allah Ta’alaa bohat bulandiyon wala aur badi shaan wala hai.

[Surah Luqman:31:30]

 Aur farmaaya :

Aey logon! Apne us Rab ki ibadat karo jis nay tumhein aur tum se pehlay kay logon ko paida kiya, yehi tumhara bachao hai, jis nay tumharay liye zameen ko farsh aur Aasman ko chhat banaya aur Aasman se pani utaar kar is say phal paida karkay tumhe rozi di, khabardaar bawajood jannay kay Allah kay shareek muqarrar na karo.

 [Surah Al-Baqrah : 21, 22]

Nez farmaaya :

Aur Allah Ta’alaa ki ibadat karo aur is kay saath kisi ko shareek na karo 

[Surah An Nisaa:03:36]  

Nez farmaaya :

Aap farma dijiye ke bilyaqeen meri namaz aur meri saari ibadat aur mera jeena aur mera marna ye sab khalis Allah hi ka hai jo saaray Jahan ka Maalik hai, is ka koi shareek nahi aur mujh ko isi ka hukum hua hai aur mein sab mannay waalon mein se pehla hoon.

 [Surah Al-Anaam :06:162-163] . 

 Allah Ta’alaa ka haq bandon par :

Farmaan baari Ta’alaa hai : Mein nay Jinnat aur Insanon ko mehez iss liye paida kiya hai ke woh sirf meri ibadat karein.

[Surah Al Zaariyat:51:56]

 Maaz(رضی اللہ عنہ) riwayat kartey hain keh:

Nabi Kareem(ﷺ) jis gadhay par sawaar thay, mein is par Aap kay peechay baitha hua tha, us gadhay ka naam Afeer tha. Aap(ﷺ)) nay farmaaya Aey Maaz ! kya tumhe maloom hai ke Allah Ta’alaa ka haq Apne Bandon par kya hai? aur Bandon ka haq Allah Ta’alaa par kya hai? Mein nay arz kiya Allah aur is kay Rasool hi ziyada jantay hain. Aap(ﷺ)nay farmaaya Allah ka haq Apne bandon par ye hai ke is ki ibadat karein aur is kay saath kisi ko shareek na thehrayin aur bandon ka haq Allah Ta’alaa par ye hai ke jo bandah Allah kay saath kisi ko shareek na thehrata ho Allah usay Azaab na day. 

[sahih Al Bukhari: 2856]  

 Ibaadat Kisey Kehte hain? 

Ibaadat kay maienay hai intahaa darjay ki aajizi, inkasari, ibadat Abd say hai jis ka maienay hai “Bandah”,” Ghulam “, Sheikh al – islam Ibn Taymiyah(رحمه الله) farmatay hain: ib’adat aisa jame lafz hai jo un tamam zahiri o baatini Aqwal wa Aamaal par bola jata hai jinhein Allah Ta’alaa pasand farmaata hai aur jin say raazi hota hai, jaisay Namaz, Zakaat, Roza, Hajj, sachhi baat kehna, Amanat ada karna, walidain ke saath husn sulooq, sila rehmi, Amar balmarof wanhi an almunkir, Dua, Zikar, Tilaawat Quraan Majeed aur is jaisi digar ibadaat.

 [Majmua al fatawi llabn taymaiah : 10 / 149].

 Farmaan baari Ta’alaa hai :

Aap farmaa dijiye ke bilyaqeen meri namaz aur meri saari ibadat aur mera jeena aur mera marna ye sab khalis Allah hi ka hai jo saaray Jahan ka Maalik hai, is ka koi shareek nahi aur mujh ko isi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein se pehla hon.

[Surah Al-Anaam :06:162-163]

 Allah Ta’alaa Apne Naamon aur Sifaton me Akela hai :

Yani Allah Ta’alaa kay achay achay naam hain, aur woh sifaat kamaal say mutsif hai, jin mein woh Akela aur yaktaa hai aur is ka koi shareek nahi.

Tawheed Al Asma’ was- sifaa’t : Allah Ta’alaa apne naamon aur sifat mein akela, munfarid aur juda hai, is ka koi shareek nahi. Farmaan baari Ta’alaa hai : Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so un naamon say Allah hi ko mosoom kiya karo aur aisay logon se talluq bhi na rakho jo iss kay naamon mein kuj rawi karte hain, un logon ko un kay kiye ki zaroor saza mileygi. 

[Surah Al Aaraf :07: 180],

 

Aur farmaaya :

Allah ke liye to bohat hi buland sifat hai, woh bada hi ghalib aur ba-hikmat hai.

[Surah Al Nahl:16: 60],

 Nez farmaya :

Iss (Allah Ta’alaa) jaisi koi cheez nahi woh sunney aur dekhnay wala hai.

 [Surah Al shura :42: 11]

Nez farmaya :

Wohi Allah hai jis kay siwa koi Ma’bood nahi, chupay khulay ka jannay wala Meharbaan aur Reham karne wala, wohi Allah hai jis kay siwa koi mabood barhaq nahi, Badshah, nihayat pak, sab aibon say saaf, Aman dainay wala, nigehbaan, ghalib zoraawar, aur badhayi wala, paak hai Allah un cheezon say jinhein yeh iss ka shareek banatay hain, wohi Allah hai paida karne wala wujood bakhshney wala, soorat bananay wala, isi kay liye ( nihayat ) achay naam hain, har cheez khwah woh Aasmano mein ho khwah zameen mein ho iss ki paaki bayan karti hai, aur wohi ghalib hikmat wala hai.

[Surah Al Hashr :49: 22-24] 

Abu Huraira(رضی اللہ عنہ) se riwayat hai ke Rasool Allah(ﷺ) nay farmaya Allah Ta’alaa ke Ninanway Naam (99 Names) hain yani aik kam so. Jo shakhs un sab ko mehfooz rakhayga woh jannat mein daakhil hoga. 

[Sahih Al Bukhari: 2736].   

Allah Ta’alaa kahan hai?

 Kitab o sunnat aur ummat kay salaf say ye saabit hai ke Allah Ta’alaa Aasmano ke oopar apne Arsh par mustawi hai aur woh buland o baala aur har cheez kay oopar hai is kay oopar koi cheez nahi. 

Farmaan  baari Ta’alaa hai :

Allah Ta’alaa woh hai jis nay Aasman o Zameen ko aur jo kuch inn kay darmiyan sab ko chay(6) dinon mein paida kar diya phir Arsh par mustawi huwa, tumharay liye iske siwa koi madad gaar aur sifarshi nahi, kya phir bhi tum naseehat haasil nahi karte. 

[Surah  Al Sajdah:32:04]

Irshad baari Ta’alaa hai :

Bilashuba tumhara Rab Allah hi hai jis ne Aasmano aur zameen ko chay(6) dinon mein paida kiya phir Arsh par mustawi huwa woh har kaam ki tadbeer karta hai.

 [Surah Al yunus:10:03]

 Nez farmaya :

Tamaam tar suthray kalmaat isi ki taraf chadhtay hain aur naik Amal ko buland karta hai.

[Surah Al Fatir :35:10] 

Farmaan Baari Ta’alaa hai :

Wohi pehlay hai aur wohi peechay, wohi zahir hai aur wohi makhfi hai.

[Surah Al Hadeed:57: 03]

Nabi(ﷺ) ka farmaan hai :

Aur zahir hai teray oopar koi cheez nahi [Sahih Tirmidhi : 3481] Is maienay mein Aayaat aur Ahadees hain is kay bawajood Allah Ta’alaa nay khabar di hai ke woh apne bandon kay saath hai woh jahan bhi ho. 

Farmaan baari Ta’alaa hai :

Kya Aap ne dekha nahi ke Allah Ta’alaa Aasmano aur zameen ki har cheez say waaqif hai teen Admiyon ki sargoshi nahi hoti magar Allah un ka choutha(4th) hota hai aur na hi paanch ki magar woh un ka chhata hota hai aur na is se kum aur na ziyada ki magar woh jahan bhi ho woh saath hota hai. 

[Surah Al Mujadilah:58:07]

 

balkay Allah Ta’alaa nay apne Arsh par buland honay aur bandon ke saath apni mayt ko aik hi aayat mein akhatta zikar kiya hai.

 Farmaan baari Ta’alaa hai :

Wohi hai jis nay Aasmano aur zameen ko chay(6) dinon mein paida kiya phir Arsh par mustawi ho gaya woh is cheez ko jaanta hai jo zameen mein jaye aur jo isse niklay aur jo Aasman se neechay ayen aur jo kuch chadh kar is mein jaye aur jahan kahin bhi tum ho woh tumahray saath hai. 

[Surah Al Hadeed:57:04]

Is ka ye maienay nahi hai ke woh makhlooq ke saath khilat milat hai balkay woh apney bandon kay saath ilm kay aitebaar say hai aur iss kay Arsh par honay kay bawajood un ke Aamaal mein say is par koi cheez makhfi nahi. 

Allah Ta’alaa ka yeh farmaan ke :

Aur hum is ki ragay jaan se bhi ziyada qareeb hain.

[Surah  Kaha’f :18:16]

REFRENCE:

[1] https://www.askislampedia.com/en/wiki/-/wiki/English_wiki/Allah+%D8%B3%D8%A8%D8%AD%D8%A7%D9%86%D9%87+%D9%88+%D8%AA%D8%B9%D8%A7%D9%84%D9%89

[2] https://www.protectedpearls.com/whatisislam.htm#734492370

Table of Contents