RUYE ZAMEEN PAR ALLAH KI 2 ZAMAANATE
RUYE ZAMEEN PAR ALLAH KI 2 ZAMAANATE
FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH.
Romanised By Khadija Muhammadi
Sab Se Pehle Is Topic Ke Likhne Ka Maqsad Bayaan Kar Du Taaki Zimni Paigaam Ke Sath Mera Asal Paigaam Bhi Aam Aur Khaas Tak Pohnche. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Wafaat Ka Inkaar Kar Ke Deen Me Hazaaro Bida’aat Aur Khuraafaat Ko Daakhil Kar Liya Gaya Hai Balke Bid’at Ke Raaste Kufriya Aur Shirkiya Aa’maal Bhi Dar Aae Aur Un Aa’maal Aur Af’aal Ki Anjaam Dahi Par Naaza Aur Farhaa Hai. Wafaat E Nabi Ke Inkaar Ki Naubat Is Tarah Paish Aai Ke Sufiyo Ke Nazdeek Sufi Wali Aur Peer Aur Murshid Kabhi Nahi Marte Hamesha Zindah Rehte Hai. Aur Na Sirf Zindah Rehte Hai Har Kisi Ki Madad Bhi Karte Hai, Logo Ke Paas Aate Jate, Chalte Phirte, Khate Pite Aur Sunte Dekhte Nazar Aate Hai. Jab Yah Awliya Aur Peer Murshid Ka Haal Hai To Fir Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Wafaat Ka Inkaar Karna Parhe Ga Aur Maanna Parhe Ga Ke Woh Bhi Zindah Hai. Is Tarah Mazaar Ki Kamaai Halaal Karne Ke Liye Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Wafaat Ka Inkaar Kiya Gaya Hai Jabki Duniya Me Kisi Ko Baqa Nahi Chaahe Woh Nabi Hon Ya Wali Siwaae Allah Ke. Sirf Allah Ki Sifat Ilah Aur Alqayyum Hai Yani Allah Hi Ek Aysi Zaat Hai Jo Hamesha Se Zindah Aur Qaim Hai Hamesha Baqi Rehne Wali Aur Qaim Rakhne Wali Hai. Allah Ke Alawah Saari Makhlooq Ko Maut Ka Mazah Chakhna Hai Is Par Qur’an Aur Hadees Ke Beshumaar Dalaail Hai Unko Yaha Tawaalat Ki Wajah Se Zikr Nahi Karunga Balki Qur’an Ki Sirf Ek Aayat Ke Zikr Par Iktifa Karunga Aur Na Hi Yaha Mazaaraat Aur Qubbe, Kashf Aur Karaamaat Gairullah Se Madad, Murdo Ke Naam Par Tijaarat, Nazr O Niyaaz Ke Naam Par Sadah Loh Awaam Se Maal Enthna Aur Ilaaj Aur Mualija Ke Naam Par Aurto Ki Izzat Aur Aabroo Se Khelna Wagairah Zikr Karunga.
Surah Anfaal Me Allah Ka Farmaan Hai:
وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنتَ فِيهِمْ ۚ وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ(33)
Tarjumah: Aur Allah Aysa Na Karega Ke Unme Aap Ke Hote Hue Unko Azaab De Aur Allah Unko Azaab Na Dega Is Haalat Me Ke Woh Astagfaar Bhi Karte Ho.
Qur’an Ki Is Aayat Ki Tafseer Me Bukhari Sharif Me Waarid Hai:
حدثنا احمد حدثنا عبدالله بن معاذ حدثنا ابي حدثنا شعبة عن عبد الحميد هو ابن كرديد صاحب الزيادي سمع عن أنس بن مالك رضي الله عنه قال: أبو جهل: اللهم إن كان هذا هو الحق من عندك فأمطر علينا حجارة من السماء أو ائتنا بعذاب أليم فنزلت: {وما كان الله ليعذبهم وأنت فيهم، وما كان الله معذبهم وهم يستغفرون. وما لهم ألا يعذبهم الله وهم يصدون عن المسجد الحرام} [الأنفال: 34] الآية.(صحيح البخاري:4648)
Tarjumah: Mujh Se Ahmad Bin Nazar Ne Bayan Kiya: Kaha Ham Se Ubaidullah Bin Muaz Ne Bayan Kiya Kaha Ham Se Hamare Walid Ne Bayan Kiya Unse Shoba Ne Bayan Kiya Un Se Sahab Ziyadi Abdul Hameed Ne Jo Kurdeed Ke Sahabzade The Unhone Anas Bin Malik RA Se Suna Ke Abu Jahal Ne Kaha Tha Ke Ay Allah! Agar Yah Kalaam Teri Taraf Se Waaqai Haq Hai To Ham Par Aasmano Se Paththar Barsa De Ya Fir Koi Aur Hi Azaab Dardnaak Le Kar Aae To Is Par Yah Aayat Naazil Hui
وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنتَ فِيهِمْ ۚ وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ وما لهم ان لا يعذبهم الله وهم يصدون عن المسجد الحرام.
Halanki Allah Aysa Nahi Karega Ke Unhe Azaab De Is Haal Me Ke Aap Unme Maujood Ho Aur Na Un Par Azaab Laae Ga Is Haal Me Ke Woh Astagfaar Kar Rahe Ho. Un Logo Ke Liye Kiya Wajah Hai Ke Allah Un Par Azaab Hi Sire Se Na Laae Halanki Yah Woh Masjid E Haraam Se Rokte The.
Is Aayat Se Yah Maloom Hota Hai ke Puri Zameen Par Allah Ki 2 Zamaanate Hai Pehli Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Zinda Hona Aur Dusri Zamaanat Moamino Ka Astagfaar Karna.
Jab Abu Jahal Ne Allah Se Azaab Ka Mutalba Kiya To Allah Ne Batlaya Ke Jab Tak Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Zindah Hai Is Waqt Tak Qaum Par Azaab Nahi Aaega. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Zindagi Me Kuffar Bhi Allah Ke Azaab Se Ma’moon Ho Gae The Ab Abu Jahal Mar Gaya Aur Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Allah Ke Hukm Se Wafaat Paa Gae To Allah Ki Pehli Zamaanat Rooe Zameen Se Uth Gai.
Tirmizi Me Bhi Iski Wazaahat Hai Go Ke Rivaayat Zaeef Hai Magar Ma’ni Sahih Hai.
عن ابي بردة بن ابي موسى عن ابيه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم أَنْزَلَ اللَّهُ عَلَىَّ أَمَانَيْنِ لأُمَّتِي : ( وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنْتَ فِيهِمْ ) ( وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ ) إِذَا مَضَيْتُ تَرَكْتُ فِيهِمْ الاِسْتِغْفَارَ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ.(جامع ترمذی: 3082)
Tarjumah: Abu Moosa Ashari RA Kehte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Meri Ummat Ke Liye Allah Ne Mujh Par 2 Amaan Naazil Farmaae
(1) وما کان اللہ لیعذبہم.
(2) وما کان اللہ معذبھم وھم یستغفرون۔
Aur Jab Me(Is Duniya Se) Chala Jaaunga To Unke Liye Dusra Amaan Astagfaar Qayamat Tak Chhod Jaaunga.
Ibne Abbas Ra Se Marwi Hai Ma’ni Ka Asar Tohfatul Ahwazi Aur Ibne Kaseer Wagairah Aur Mutaddad Kutub E Hadees Wa Tafseer Me Mazkoor Hai.
قال ابن عباس : إن الله جعل في هذه الأمة أمانين لا يزالون معصومين مجارين من قوارع العذاب ما داما بين أظهرهم : فأمان قبضه الله إليه ، وأمان بقي فيكم ، قوله : ( وما كان الله ليعذبهم وأنت فيهم وما كان الله معذبهم وهم يستغفرون. (تحفة الاحوزى شرح حديث رقم:3082)
Tarjumah: Beshak Allah Is Ummat Me 2 Zamaanate Rakha Hai Jab Tak 2 Zamaanate Unke Darmiyaan Hai Unki Wajah Se Ummat Barabar Azaab Se Mehfooz Rahe Gi. Pas Pehla Amaan Allah Ne Utha Liya Aur Dusra Amaan Tumhare Darmiyaan Baqi Hai. Allah Ka Qaul
وما كان الله ليعذبهم وانت فيهم وما كان الله معذبهم وهم يستغفرون .
Aur Allah Aysa Na Kare Ga Ke Un Me Aap Ke Hote Hue Unko Azaab De Aur Allah Unko Azaab Na Dega Is Haalat Me Ke Woh Astagfaar Bhi Karte Ho.
Khulasa Kalaam Yah Hai Ke Is Puri Zameen Se Allah Ki Ek Zamaanat Uth Gai Woh Hai Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Wafaat Pa Jana. Yah Jaan Le Ke Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Is Duniya Se Uth Jana Ummat Ka Bahut Bada Khasara Hai. Behad Afsos Hai Un Logo Par Jo Duniya Ki Daulat Haasil Karne Ke Liye Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Wafaat Ka Inkaar Karte Hai Is Se Ziyadah Afsos Is Harkat Par Hai Ke Aap Ki Wafaat Se Puri Zameen Ki Ek Zamaanat Uth Gai Magar Duniya Ki Daulat Aur Hawas Ke Parastaar Har Saal Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Naam Par Jashn E Eide Milaadun Nabi Manaate Hai. Afsos Sad Afsos.
Ek Zamaanat Chali Magar Allah Ki Ek Zamaanat Abhi Bhi Puri Zameen Par Baqi Hai Woh Hai Moamino Ka Astagfaar Karna. Jo Bidati Hai Woh Bid’at Se Taubah Kar Le Aur Kasrat Se Astagfaar Kare Jo Badchalan Hai Woh Apne Gunaaho Se Taubah Kar Le Aur Bakasrat Allah Se Astagfaar Kare Aur Jo Kufr Ma’si Me Dube Hue Hai Woh Apne Imaan Ki Islaah Kar Le, Amal E Saaleh Anjaam De Aur Astagfaar Ko Laazim Pakade. Allah Astagfaar Ki Badolat Ham Se Azaab Taal Dega. Aaj Kal Puri Duniya Me Musalmano Ke Haalat Bahut Nagufta Ba Hai, In Haalat Me Man Mani Mafsaati Khawaahishaat Aur Bedeeni Khuraafat Chhod Kar Allah Ki Kitaab Aur Sunnat E Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Taraf Ruju Karna Apne Aamaal Sahih Karna Aur Taubah Aur Astagfaar Ko Laazim Pakadna Nihayat Zaroori Hai.